Matlabi

Sun meray yaara aaj meri kahaani
Apni zindagi sunaoon tujhko apni zubaani
Ye kahaani kamyaabiyon ki dastaan nahi hai
Main hamesha hoon ghalat par ye log sahi
Mujh mein baat nahi
Koi aukaat nahi
Meri koi bhi muhabbat meray sath nahi hai
Dil mein baatein kaheen hain
Moun pe aati nahi hain
Kaisay poora karoon qissa
Poori raat nahi
Saari aadatein burri hain
Cigarette, jora aur sharaab
Meray pass bhi hai dil
Main ne bhi dekhay hain khwaab
Mujhe bhi sakoon pasand hai
Laggi ghar pe apnay jang hai
Inhi nafraton mein ho chuka barbaad ye shabaab
Apni jaan se nahi mil sakta
Mujhe doori ne sataaya
Phir dunya ke inn rolon ne mujhe boht rulaaya
Apnon ne kiya paraaya
Kabhi saath na nibhaaya
Ab tak zinda gar kharra hoon
Bas dua'on ne bachaaya
Haan

Matlabi hain meray yaar bhi
Matlabi hain rishtaydaar bhi
Saari dunya matlabi hai jani
Matlabi hai mera pyaar bhi
Matlabi hain meray yaar bhi
Haan
Matlabi hain rishtaydaar bhi
Haan
Saari dunya matlabi hai jani
Matlabi hai mera pyaar bhi

Haan... yeah
Hai ye pehla nasha
Pehli dafa kiya ehd-e-wafa
Dekho hona na khafa
Nahi main aadmi bura
Bas poori zindagi hoon darr ke guzaar chuka
Mujh se karti thi pyaar
Meray peechay thi khuwaar
Lekin girrti thi laashein
Roz marrtay thay yaar
Chalo chalen uss paar
Dil pe karna nahi waar
Dekho bethay meray yaar
Piyein joray lagataar
13 saal ki umar se ghar se nikla hua hoon
Maa ke haath ka bhi zaiqa main bhool chuka hoon
Ab toh rona bhi nahi aata apni bebasi pe mujhko
Apnay dil ke jazbaat se main dur aa chuka hoon
Kabhi ro'un, muskuraun
Kabhi haath main uthaaon
Sun'ne wala nahi hai koi
Kisko haal-e-dil sunaoon
Jab bhi yaad teri aye bas ye rap karta jaoon
Kar ke rap saari raat bhari cigarettain jalaun
Haan

Matlabi hain meray yaar bhi
Matlabi hain rishtaydaar bhi
Saari dunya matlabi hai jani
Matlabi hai mera pyaar bhi
Matlabi hain meray yaar bhi
Haan
Matlabi hain rishtaydaar bhi
Haan
Saari dunya matlabi hai jani
Matlabi hai mera pyaar bhi



Credits
Writer(s): Aizaz Hashmi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link