Pyaar Bhi Kya Nasha Hai

Hua hun mein bekeraar
Kabhi na socha tha
Na karna tha phir se pyaar
Thi meri iltija
Hui chahat aur dil faraar
Yehi tou rona tha
Kiya phir se bezubaan
Kardi hai inteha

Hua ilhaam
Dil par lagaam nahi rakh sakta hun mein
Hua ehsaas
Yeh jazbat mein zinda rehta mein
Be emaan
Khud se hua phisalta rehta mein
Yeh pyaar
Jaisay sharaab ka chaska lagta hai

Pyaar bhi kya nasha hai
Yeh kaisa nasha hai
Pyaar bhi kya nasha hai
Kaisa yeh nasha hai
Pyaar bhi kya nasha hai
Yeh kaisa nasha hai
Pyaar bhi kya nasha hai
Kaisa yeh nasha hai

Meray dil mein tha Araam
Par ab hai chin gaya
Saray ghum Se tha juda
Ab phir hun jur para
Ishq ka yeh silsala
Sar pe hai gir para
Is Ulfat ki waja
Se bhoola raasta

Hua ilhaam
Dil par lagaam nahi rakh sakta hun mein
Hua ehsaas
Yeh jazbat mein zinda rehta mein
Be emaan
Khud se hua phisalta rehta mein
Yeh pyaar
Jaisay sharaab ka chaska lagta hai

Pyaar bhi kya nasha hai
Yeh kaisa nasha hai
Pyaar bhi kya nasha hai
Kaisa yeh nasha hai
Pyaar bhi kya nasha hai
Yeh kaisa nasha hai
Pyaar bhi kya nasha hai
Kaisa yeh nasha hai

Akelay tanha rehta hun mein sahi
Dil chahay dard jo bhoolna nahi
Jab saweray us chand ki mehsoos hoye kami
Nahi chutti yeh aadat meri
Akelay tanha rehta hun mein sahi
Dil chahay dard jo bhoolna nahi
Jab saweray us chand ki mehsoos hoye kami
Nahi chutti yeh aadat meri

Pyaar bhi kya nasha hai
Yeh kaisa nasha hai
Pyaar bhi kya nasha hai
Kaisa yeh nasha hai
Pyaar bhi kya nasha hai
Yeh kaisa nasha hai
Pyaar bhi kya nasha hai
Kaisa yeh nasha hai



Credits
Writer(s): Taha Gurwara
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link