Sirhaane - The Classroom Project

Din sabka hi dhal jaata, dikhta vo toota sa taara
Gustakh dil ka sahara, uska wohi tha ujala
Chuppi mein jeete the saare
Bhole se darr the humaare
Ye raaz mere chhupte rehte sirhaane tale
Vo aaj bhi mujhe milte rehte sirhaane tale
Nayi nayi raatein jo aati, kuch waisi banne ko chahti

Sab milte apne thikaane, ghar pe de jhoothe bahaane
Din tha farishton ka saaya, raatein shaitaani pitaara
Chuski mein gham ko the peete
Par jeene ke din wohi the
Ye raaz mere chhupte rehte sirhaane tale
Vo aaj bhi mujhe milte rehte sirhaane tale
Nayi nayi raatein jo aati, kuch waisi banne ko chahti

Khidkiyon se kar ishaarein, aisi hoti thi baatein
Dheeme se sannaton mein phir ghar se nikalte the saare
Vo gali aur vo sadak phir apne hote the saare
Kya pata shayad ab aati unko bhi humaari yaadein

Ye raaz mere chhupte rehte sirhaane tale
Vo aaj bhi mujhe milte rehte sirhaane tale
Nayi nayi raatein jo aati, kuch waisi banne ko chahti



Credits
Writer(s): Aditya Kambhampati, Aditya Karhadkar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link