Bane Khile - The Classroom Project

Nanhe se kanche jab
Sikko se badh kar the
Mann ki har marzi ko
Sar aakhon pe rakhte
Kaagaz ke tukde ki
Kismat banate the
Kabhi kashti kabhi udta
Jahaaz usme paate the
Chot ke chote bade nishaan
Bhi aate jaate the
Zakhm kuch pal reh kar
Yaadein aur kisse ban jaate the
Kisse ban jaate the

Bane khile dhule mite vo daag bhi mitti ki saadgi ke
Jhoothi jo na dikhe unhi buniyaadon se ajnabee the

Khidki, chhatton ko sau topo ki salaamiyaan
Pathar se diya hum karte the
Dali se tode aam ke khatte swaad ko
Milke chakha hum karte the
Bair maidaan ke wahi pe bhool jaate the
Sukoon ki tarkeebein junoon se azmaate the
Heyy... heyy

Galti se hi galti
Kiya hum karte the
Gehre paani se nahi par
Chhadi se darte the
Aahat sun baarish ki
Maidaan mein pohochte the
Mitti mein, paani mein
Girte the sambhalte the

Chot ke chote bade nishaan
Bhi aate jaate the
Zakhm kuch pal reh kar
Yaadein aur kisse ban jaate the
Kisse ban jaate the

Bane khile dhule mite vo daag bhi mitti ki saadgi ke
Jhoothi jo na dikhe unhi buniyaadon se ajnabee the



Credits
Writer(s): Aditya Kambhampati, Aditya Karhadkar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link