Shiv Katha

Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain
Kaalo ke kaal, us Mahakaal ki katha sunaate hain, hum gaatha gaate hain

Kitna bhola-bhaala hai Shankar suno sunaate hain, paawan katha sunaate hain
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Bade dayaalu hai Shiv Shankar, manmauji Baba
Ek hi pal mein de dete hai jisne jo maanga
Gungaan kare unka jitna, utna kam paate hai
Bheer pade bhakto pe Shambhu daud ke aate hai

Meri jeewan-naiyya ki patwaar hai Bholenaath
Ardaas karu, Shiv Shankar, mera chhod na dena saath
Paar lagado bhavsaagar se ban karuna ki dhaar
Parvati-pati, har-har Shambhu, paahi-paahi, daata

Nishabd teri mahima ke aage hum ho jaate hain, kuchh samajh na paate hain
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Jay manbhaavan, jay atipaawan, shok-nashavan Shiv
Vipad-vidaaran, adham-udaharan, satya-sanaatan Shiv
Sahaj vachanhar, jalaj-nayanvar, dhawal-varantan Shiv
Madan-kadankar, paap-haranhar, charan-manandhan Shiv

Bholenaath, kripalu-dayaamay, aughad-daani Shiv
Saral-hriday, ati karuna-saagar, akath kahaani Shiv
Nimish matr mein dete hai navnidhi manmaani Shiv
Bhakto par sarvasva lutaakar bane masaani Shiv

Hum aise Bholenaath Prabhu ko sheesh jhukaate hain, hum katha sunaate hain
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Bhole Baba ke bholepan ke ek se ek prasang
Ek-ek kar sunte hain hum sab bhakto ke sang
Ek baar ki baat suno, ye katha suno pyaari
Ek asur Shiv se var paane ki karke taiyyari

Aaya, aakar ek shila than par vo jaa baitha
Shiv ko paane ka usne ek rasta chuna anootha
Hawankund prajwalit karke vo Shiv ka jaap kare
Apni dhun ka pakka tha, pal na vishram kare

Gunjaaymaan uske sang teeno lok ho jaate hain, hum katha sunaate hain
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Dhyaan bhang uska saato mausam na kar paaye
Bhukh-pyaas aur sardi-garmi usko nahi sataaye
Din, hafte aur mahino beete, beet gaye barso
Apne tap pe adig raha, tas se mas hua na vo

Fir bhi Shiv Shankar ko uska dhyaan nahi aaya
Kuchh naya anootha karne ka uske man mein aaya
Kaat-kaatkar apna ang vo laga hawan karne
Karke tan ko hom, laga vo Shiv ko prasann karne

Aakhir Shiv uski bhakti se khush ho jaate hai, Shambhu khush ho jaate hai
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Shiv Shankar us daanav ke jab sammukh prakat huye
Ek hi pal mein ang-bhang daanav ke thik huye
Prasann ho gaye Bhole Baba, bole, "Var maango
Apne man ki sabhi kaamna tum poori karlo"

"Prasann aap hai agar jo mujhpe, ajar-amar kar do
Hey, devo ke dev, mujhe aisa koi var do"
Madhur liye muskaan kahe Shiv Shankar, "Vats, suno
Niyamo ke virudh hai ye var, aur koi chun lo

"Jo janma hai vo marega nishchit", Shiv samjhaate hai, usko Shiv samjhaate hai
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Bahut soch bola daanav, "Ek aisa var chaahun
Jiske sar par haath main rakh du usko raakh banaaun"
Bhole Baba bol uthe, "Jaa, aisa hi hoga
Jiske sar pe haath rakhe tu, bhasm vahi hoga

"Bhasmaasur ke naam se ab pehchaan mile tujhko
Jaisi teri ichchha, vo vardaan mile tujhko"
Prasann ho gaya Bhasmaasur, bola, "Main dhany hua"
Dooje hi pal uske man ko ye sanchay hua

"Vardaan parakh lu", uske man mein bhaav ye aate hain, man mein bhaav ye aate hain
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Bhasmaasur bola, "Kaise maanu kitna sach hai?
Zara parakh lu, tab main ye jaanu kitna sach hai"
Bhole Baba bole, "Ye sach hai, kuchh jhuth nahi"
Bhala, kabhi lagti hai jag mein saanch ko aanch kahi

Mandbuddhi Bhasmaasur Shiv ki or laga badhne
Shiv ke var ki Shiv ke upar laga jaanch karne
Uska mansooba Shiv Shankar pal mein bhaanp gaye
Aisi daud lagaayi, pal mein dharti naap gaye

Pichhe Bhasmaasur, aage Shankar daud lagaate hain, Shankar daud lagaate hain
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Aage-aage Bhole Baba, pichhe Bhasmaasur
Hod machi thi dono mein, koi haar na maane par
Triloki ke Naath ne teeno lok naap daale
Dharti, paatal aur swarg lok ek-ek kar khanghaale

Kahi sharan na mili, to Har ne Hari ko yaad kiya
Tab Narayan ne roop Mohini ka dhaaran kiya
Prakat ho gaye beech raah mein, Bhasmaasur ko roka
"Daitya-raaj, kis or chale?", Narayan ne toka

Bhasmaasur par Narayan maayajaal failaate hai, maayajaal failaate hai
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Divy-sundari dekh ke Bhasmaasur chakkar khaaya
Bhool gaya Shiv ka pichha karna, vo bauraaya
Bol utha, "Hey, suno sundari, kahaan se aayi ho?
Kaun sheher, kis nagar ki ho, kis kul ki jaayi ho?

"Sundar roop tumhaara mere man ko bhaaya hai
Byaah rachaane ka mere man mein khayaal aaya hai"
Madhur liye muskaan Mohini boli, "Daitya, suno
Meri ek pratigya hai, pehle usko sun lo

"Pehle mere sang nrity kro, fir byaah rachaate hai", hum katha sunaate hain
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

"Isme kaunsa bhed hai, kaunsa jatil kaam hai ye
'Gar tere sang-sang kat jaaye to umr tamaam hai ye
Tum shuru karo, main karu tumhaara anukaran aisa
Jaisa abtak kabhi kisi ne kiya nahi vaisa"

Narayan ne muskaan fenk aarambh kar diya nrity
Hari apne jan ke hetu leela rachte hai nit-nit
Narayan jyo nrity kare, tyo karne laga Bhasmaasur
Nrity-nrity mein Hari ne apna haath dhara sar par

Ye daav aakhiri Narayan uspar chalaate hai, hum katha sunaate hain
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)

Bhasmaasur ne kiya anukaran, sar par haath dhara
Vaise hi vo bhasm hua, apne var se hi mara
Roop Mohini taj Narayan Hari-roop mein aaye
Bhole ke bholepan par Narayan bhi muskaaye

Apne bhakto ko kya-kya var de dete Shiv Shankar
Bina vichaare har ichchha poori karte Shiv Shankar
Bade hai kisse Bhole Shiv Shankar ke ek se ek
Badi niraali leela inki, katha ek se ek

Hum agle bhaag mein katha nayi ek lekar aate hain, hum katha sunaate hain
Devo ke dev, Mahadev ki hum gaatha gaate hain, hum katha sunaate hain

(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)
(Jay Neelkanthdhaari, jay Bhole Bhandari)



Credits
Writer(s): Mahesh Prabhakar, Raju Rajasthani
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link