Dhundh (feat. Ansh Ojha)

Jo yeh tune kiya hai (jo yeh tune kiya hai)
Woh main kaise bhula doon? (woh main kaise bhula doon?)
Tu jo kehde kabhi toh (tu jo kehde kabhi toh)
Main khud ko mita doon (main khud ko mita doon)

Roya karta tha main baith akele (baith akele)
Chup toh tu karade aake o jaana (o jaana)
Choote peeche mere yaar bathere (yaar bathere)
Chalde kabhi mere saath tu jaana (o jaana, jaana)

Baatein ye saari zehen se nahi jaari
Main karta bhi kya mujhko lagi bimari ye
Yaadein tumhari hain lipti hui mujhse
Haste hue mujhko faansi lagari (faansi lagari)

Dhundh yeh aankhon se hatne lagi toh
Toota ye preet ka rehman sa dhaaga
Saalon andhere mein baitha raha mai
Banja mera jaise ujla sa tara

Vaade toh itne the tere ke maano
Mutthi mein bhartha toh bahar gir jaate
Bola tha saath rahegi par dekha toh
Aksar hum khudko akela hi paate

Dhundh ye aankhon se hatne lagi toh
Toota ye preet ka rehman sa dhaaga
Saalon andhere mein baitha raha mai
Banja mera jaise

Toota jaise ek saaz hua hai
Ekela tera better-half hua hai
Notice kiya kya yeh tune ke
Hasta hua chehra kaise udaas hua hain

Sab teri hi marzi thi (marzi thi)
Aana, rukna ya ho chhodh ke jana
Haan aisi majboori thi (aisi majboori thi)
Rootha hoon firbhi main tujhko manata

Aa laut ke vapis aa (vapis aa)
Hain malum tu roothega mujhse dobara
Hain jhoothe vo saare log (saare log)
Jo kehte hain waqt hai khudko dohrata

Sb teri hi marzi thi (marzi thi)
Apne isharon pe mujhko nachana
Kya aisi majboori thi (aisi majboori thi)
Apna bana ke paraya batana

Na tere aane ki rahat hoti thi
Aur na tere jaane ki chahat
Ab dua toh bas itni hain
Ki Na dil ko kisi ki adat ho
Aur na fir se kabhi mohabbat

Roya karta tha main baith akele (baith akele)
Chup toh tu karade aake o jaana (o jaana)
Choote peeche mere yaar bathere (yaar bathere)
Chalde kabhi mere saath tu jaana (o jaana, jaana)

Jo yeh tune kiya hai (jo yeh tune kiya hai)
Woh main kaise bhula doon? (woh main kaise bhula doon?)
Tu jo kehde kabhi toh (tu jo kehde kabhi toh)
Main khud ko mita doon (main khud ko mita doon)

Maan meri baat tu bhi ab aaja
Tamm meri mein diwali mana ja (jaana)
Kuch nahi dikhta inn nangi si aankhon ko
Aakhon se dhundh hata ja (jaana)

Jaise tune thi kasme mitai
Vaise mera vajood mita ja (jaana)
Vaise mera vajood mita ja (jaana)
Vaise mera vajood mita ja



Credits
Writer(s): Ansh Ojha, Tanmay Sinha
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link