Hoti Rahegi Mulakaatein (Reprised Version)

Ek shahar hain tera nigaaho se durr kahi
Jaha milti hain mujhe tu khwaabo mein wahi
Chalta nahi zor kismat par ab humara kya kare
Milte hain hum inhi kashkamash mein kya kare
Chale tere kadam mere safar pe jo kahi
Mahsoosh hota hain mujhe tu aaj bhi yahi kahi
Yeh aasmano par jo teri baatein chaa jati hain
Tu na jaane mujhe kaha kaha yaad aati hain
Yeh raaste yeh fazaaye tera chehra bankar aate hain
Mein tujhe bhool jaau yeh kesi baatein lekar aate hain
Yeh zamaana sukoon ki jab bhi baat karta hain
Tere naam ke saath mere naam ko yaad karta hain
Yeh mohbhatt fazaa mein hain,mere naam mein ke kaha mahak uthi hain
Teri gali ke tawaaf zehan mein krke jaan tarash uthi hain
Jo khuch tha nahi woh gawaa kar aaya hu
Mein tere shehar mein khud ko chor kar aaya hu
Woh galiya woh raaste woh dariiche woh khayaal
Raasta takte hain mera aur karte hain malaal
Mein tha nahi jo khuch ho kar aaya hu
Mein naa jaane kitna tere shahar ro kar aaya hu
Khuch guzra tha waqt tha khuch guzre haalaat bhi teh
Tere shehar ke chaand dekh kar raat ke ayaam bhi teh
Sard hawaaye kaano mein tera naam gungunaa rahi thi
Khuch raahe raato mein aakar tera naam pukar rahi thi
Mein jaha jaata tujhe dekhta tujhe dekh kar hi mujhe jeena aaya
Mein jii na paaya toh jii kar kya karta marte marye mene yeh paaya
Khuch tha nahi jo usey gawaa du,jo ab hain usey apna banaa lu
Mein nahi chahta zindagi yunh guzre mein khud ko tere naam pe mita du
Phir ek waqt aaega, na jaane kon kaha jaaega
Naa jaane kis kaali raat mein soye rahege
Naa jaane kis khabar mein khoye rahege
Yeh jo zindagi mili hain mujhe zindagi guzaar dete hain
Yeh majboori,dahsat,jhizak kya hain,aao phir naam lete hain
Kya hoga? agar tum bhichad jau
Kya hoga? agar mein bhichad jau
Duniya toh yunhi naam rakhegi
Kyu duniya ki baato mein aau
Ab zarro aasmano pr hain ke mere naam ke saath mehke hain
Tu hain ke mere saath hain mera isliye toh yeh log chehke hain
Tu kyu nhi samjta baato ko samaj kar anjaan ho chala hain
Meri baatein meri raatein tu ab chor kar kaha le chala hain
Kyu bataau mein kya hu? Aur kis liye kho raha hu
Mein jitegi ji zinda tha,marte-marte ro raha hu
Ab ho chale zindagi toh guzaar du tere saath,kya karu akele ji kar

Yeh tanha-tanha bari raat
Par yeh kehta hu khud se ke yeh baat hoti rahegi
Mulakaatein nigaaho se durr hain,tujhse hoti rahegi
Tu nigaaho se durr hain mere,Dil se toh na hua
Mene kitna khuch kaha tujhse par tu mera na hua
Meri awaaz sunkar tune raate rokar guzar di
Mere intezaar mein tune zindagi guzaar di
Mein tere intezaar mein yunhi raat zarro mein khoya karta hu
Tujhe nahi khabar ke mein ab kaha raato mein soya karta hu
Tu aa chal mere pass phir zindagi bitaa du mein phir
Tere saath jeena hain mujhe, Aa sabko bata du mein phir
Kehta hu aaj bhi tum meri taqdeer mein gar nahi
Hoti rahegi mulakaatein tumse nigaaho se durr ho dil se nahi



Credits
Writer(s): Wajid Missery, Wajid Shaikh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link