Ye Karwaan

Milne tumse jo aayi abhi
Subah thi haan suhani vahi
Khamoshi ke panno par
Ye pal yuhin ghum na jaye kahin

Ye pal yuhin ghum na jaye kahin
Shamain yun hi dhal na jayen kahin

Dil jo kahe tu sun paaye nahi
Haan bezubaan kahin ban jaye nahin
Ye karwaan kahin tham jaye nahin
Ghum raaste manzil paayen abhi

Do pal ki zindgani yahi
Subah nahin fir ye aani kabhi
Jana tujhe dur tak hai magar
Khud par yakeen kyun na aaye abhi

Khud par yakeen kyun na aaye abhi
Shamain ye dhalne ko aayi abhi

Dil jo kahe tu sun paaye nahi
Haan bezubaan kahin ban jaye nahin
Ye karwaan kahin tham jaye nahin
Ghum raaste manzil paayen abhi



Credits
Writer(s): Abhishek Pipara
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link