O Jaana 2.0

Hai sukoon tu hi to janmon se
Jo churaye waqt ke panno se
Vasl-e-naya qissa ban jayega

Tab khushnuma ye jahaan hoga
Khwabon ka bhi gulsitaan hoga
Qurbat panah lamha tham jayega

O jaana farhaat pal
Shiddat mera qissa naya ban jayega
O jaana mehfooz kal
Qurbat panah lamhaa tham jayega

Jab kaano me sarghoshiyan
Chupke se aa jayein kahin
Mere saanson ki bechainiyan
Khushboo se mil jaye teri

Jab shabnami si boondon mein
Saje yoon teri muskurahatein
Sajda karoon mil jaye tu
Poori ho meri mannatein

Tab kaafila mere geeton ka
Ban jaye tere naam ka
Aur Ishq ki gustakhiyan
Tham jaye tere sath me

Hai sukoon tu hi to janmon se
Jo churaye waqt ke panno se
Vasl-e-naya qissa ban jayega

O jaana farhaat pal
Shiddat mera qissa naya ban jayega
O jaana mehfooz kal
Qurbat panah lamhaa tham jayega



Credits
Writer(s): Brite Roy
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link