Sawaal

Kabhi letun sochun hosh nahi
Kabhi letun sochun roz wahi
Tu, mein, har roz wahi baat
Roz naye lanjhay, aur roz sir pay hath
Roz dikhay maut, Aur roz hoti maat
Hai kon yahan sagga, Hai kon deta daat
Wo samjhein ke mein bhul gya
Lekin har aik harf har aik lafz mujhay yaad

Mein batein bhulun nahi, sari yaad mujhay
Ghalat banday say han rakhi hui khaar tunay
Pata bhi hai tujhay kya dekhay halaat meny
Mein bolunga tu rojayega halat aesay thay meray
Lekin meine badal diye
Jigar mehnat ki hai tabhi mujhay qadar bhi hai
Evein ayein bayein shayein nahi marein
Koi shortcut nahi mara humne istimal aqal ki hei

Abb log meri tarf dekehein
Rukein sochein Bolein dekh jigar rapper aya
Aaj beaton pay batein kuch kehnay aya
Gham baray baray bohot mein seh kay aya
Roz lagay kam thay samjhdar kal
Aur aaj lagay samjh gaye sari baat hum
Roz naye log milein nayi cheezain seekhein
Humne yaad rakha bhulay nahi aukaat hum

Raton ko mein likhun ratain choti parr gayin
Aur bhara hua dekha meine adatein bigar
Ab raton ko me letun sochun apne baray
Aur iss dunya kay baray ke akhir
Ye dunya kaise chal rhi
Jawab dhundhun kafi mil gye
Per kuch nahi millay
Sawal hein dill mein ab tak
Mujhay karein tang per bhai kab tak
Meri khojh rahay zinda umar bhar tak



Credits
Writer(s): Sanan Khalid
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link