Kurbaan

Vocals: Mihir Joshi
Guitars: Akshay Nikumbh
Lyrics: Nehal Bhanushali

Jab baat kuch waqt ki hai
Mulaaqaat kuch waqt ki hai
Jab jeet kuch waqt ki hai
Jab maat kuch waqt ki hai
Phir kaise samajh baithe is duniya ko gulam
Wo kaisa sabab hai jisse insaaniyat ho rahi
Kurbaan
Kurbaan
Kurbaan

Agar subah me bhi ho aankhon pe parda
To kaisa shikwa ki har jagah andhera
Agar ek jaisi hoti haatho ki ungliyan
To kudrat ki hoti kuch aur manmarziyaan
Phir kaise dhundh rahe har dam behetar koi insaan
Wo kaisa sabab hai jisse insaaniyat ho rahi
Kurbaan
Kurbaan
Kurbaan

Naa ye jism kisika
Naa ye shoharat kisiki
Naa ye pyaar kisika
Naa ye nafarat kisiki
Jab khuda ke liye jo kare ek dooje se ladhaiyan
To sadaa ke liye mit rahi jo dilon pe rab ki nishaniyan
Phir kya seekh raha koi padhke Geeta ya Quraan
Wo kaisa sabab hai jisse insaaniyat ho rahi
Kurbaan
Kurbaan
Kurbaan
Kurbaan



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link