Mama Bol (From "Das Ka Dhamki")

Chaand ghar aaya hai ki bhatka? (Raale, raale)
Thobda thoda-thoda latka (theele, theele)
Zor ka laga hai aisa jhatka (challe, challe)
Mamla badha hai, bheja satka (nijamee, nijamee)

Kaun kahe, andar kya hai
Baahar hai kya, Govinda

Zindagi ubad-khaabad, tirchhi-aadi-tedhi, mama bol
Teri mehfil mein tujhse hi yeh naach nachaye, mama bol
Zindagi khatti-meethi, teekhi-pheeki sab hai, mama bol
Zindagi aisi-waisi, jaisi hai, meri hai, mama bol

Chaand ghar aaya hai ki bhatka? (Raale, raale)
Thobda thoda-thoda latka (hoye-hoye, hoye-hoye)

Saamne toh sab hain, lekin
Haath mein kuch bhi nahin hai
Ajab hai, gajab hai yeh duniya
Yahaan jo galat hai, sahi hai

Jab koi party-sharty ho
Hum wahaan hazir hote hain
Kaam kar-kar ke mar jaayein
Phir bhi sab taane dete hain

Apni story ka main hero hoon
Chaahe sab yeh soche ki main zero hoon
Toh kehne do tum unko
Joker samjhe, buddhu bole, jaane bhi do

Zindagi ubad-khaabad, tirchhi-aadi-tedhi, mama bol
Teri mehfil mein tujhse hi yeh naach nachaye, mama bol
Zindagi khatti-meethi, teekhi-pheeki sab hai, mama bol
Zindagi aisi-waisi, jaisi hai, meri hai, mama bol

Aaj kaun humko jaanta?
Aaj hai humara mol kya?
Baadlon ka koi kaarvaan
Kaise roke sooraj ko bhala?

Haaye re, jahaan paison mein doob gaya
Paisa, paisa, paison mein doob gaya



Credits
Writer(s): Amitabh Verma, Ram Miriyala
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link