Zindagi

Agar tu meri awaaz sun sakti hai
Toh shyad aaj tujhe pata lag jayega
Ki mere dil me mohabbat toh hai
Lekin kitni...

Yaad tera muskurana mujhe dekh pehli dafa
Ye jaan le ki taaro ki salaamati hai gawaah
Main roz tere baare soch soch ke hairan
Tere liye wo kyun bana jo main kabhi bhi na bana
Han main kabhi hansta hun kabhi kabhi rota hun
Sochta hun jab bhi tu pass mein nahi
Likh deta saari ki saari kahani
Par mere kalam ki raza hi nahi
Door nahi hai tu pass bhi na
Kosa na tujhe ye pyaar mera
Pagal tu meri hi rooh ka ek hissa hai
Chhodun tujhe ye toh mumkin hi na
Kitne baras tera aur intezaar karun
Kitne baras tujhe dundhta rahun
Dikhti hai logo me hansti tu mujhko
Main logo mein tere liye hi jiyun
Aaj koi baat nahi koi bhi ladayi nahi
Bas mera pyaar aur mera mehboob
Bhale mere liye sabhi dushman bnege
Par meri ye aashiqui hogi mahshoor
Failegi phunchegi sabke zehan me
Dundhun main khud ko hi mere shehar me
Tujhko mitade jo mere is dil se
Na aisi ho taakat koi bhi zehar mein
Galtiya logo ki duri humari
Yaad hai wo gaana bhi teri deewani
Chhup chhup ke milna fir kehna tu late
Mere hi taane tu mujhko sunati
Teri nishani yahan mere pass
Meri kitaabo pe bhi tera naam
Puchte log ki kya karte rahte ho
Bolun main yaadon mein hi hun filhal
Mujhe mere khilaf karo uske khilaf nahi
Zindagi meri wo sirf mera pyaar nahi
Saanse hai raate adhuri bin uske
Main chahunga jab tak use ehsaas nahi
Han main khamoshi mein baitha hun ruk kar
Tum sa khona na chahta hun is baar
Jaan ke sab kuch rehta anjaan hun main
Kyunki ye dil nahi judte hai baar baar...



Credits
Writer(s): Vijay Kumar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link