Tere Jaane Ke Baad

Saanse ruk jaati hain, shamein na dhal paati hain
Neende bhi raat bhar aati nahi
Kehte hain dil toote to, ye sab hone lagta hai
Uthne lagta hai seene mein dard koi

Magar tere jaane ke baad kuchh na hua
Dil ko zara sa bhi asar na hua
Jo bhi suna tha sach na hua
Tere jaane ke baad
Tere jaane ke baad
Tere jaane ke baad
Tere jaane ke baad
Tere jaane ke baad
Tere jaane ke baad
Tere jaane ke baad
Tere jaane ke baad

Lagta tha mar jaunga, jaane kuchh to kar jaunga
Duniya hairan hogi jab dekhegi haalat meri
Bhookha pyaasa hi rahunga, na zara sa bhi hasunga
Sochaa tha ro ro ke bhar dunga main jheelein sari
Magar tere jaane ke baad kuchh na hua
Dil ko zara sa bhi asar na hua
Jo bhi suna tha sach na hua
Tere jaane ke baad
Tere jaane ke baad

Chaaha tha jab tu chhode, dil is tarha se tode
Ki phir kisi ke hathon ye jud na paye
Aur chhoti si khwayish thi, barbaad ashikon ki
Mehfil mein mera naam bhi liya jaaye
Magar tere jaane ke baad kuchh na hua
Dil ko zara sa bhi asar na hua
Jo bhi suna tha sach na hua
Tere Jaane ke baad
Tere Jaane ke baad
Tere Jaane ke baad



Credits
Writer(s): Gurpreet Saini
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link