Aakhri Mohabbat

Samundar pyar ka jo thehra mere dil mein
Likha ye geet rakha tujhe hi zehen mein
Tujhe pyar se nihare hua waqt
Aake baith mere sath kabhi sham ki mehfil mein

Khayal mera pehle rehta fir leti saas
Ye baat us zamane ki jab tum thi mere sath
Dekho beet gaya samay mujhe aaj bhi hai yaad
"Mujhse pyar hai na tumhein?" pucha karti thi har raat

Mohabbat dill mein to faasle na dekhe jaate
Baatein karoon taaron se jab khwab tere hai satate
Mohabbat tumhein bhi hai, aake mujhse bolo na
Saansein meri teri hai to hum bhi apna haq jatate

Dil ki baatein hai jo labon tak na aa saki
Tune ki thi dosti aur maine ki thi aashiqi
Dil ke sheher mein veeran wo makan
Jiski tu akeli dhadkan aur tu akeli saaz thi

Yaadon mein uljhe teri geet ye asar laye
Main jaagu raatein likhun baatein aankhen meri bhar aye
Aarzo baithi hai jo ghutne teke dar pe
Khair tujhe kya hi bolu jab tujhe sab nazar aaye

Ye gham hai rasta aur maut meri manzil hai
Afsos tujhe is baat ki khabar nahi
Hua jo hadsa ab dil me mere khanjar hai
Afsos tujhe is baat ki kadar nahi

Baatein ye kaagzi par ishq ye amar rahe
Kehna hai bhot kuch aur kalam besabar rahe
Fir bhi ye dua mangu upar baithe rab se ke
Tu mile ya na mile par tujhe sab khabar rahe

Jaani ne roo roo ke samundar bhar diye saare
Main bhi tanha dooba raha teri yaadon ke sahare
Teri panha me mili rahat jaan maan tu
Rishi sirf tera hai is baat se anjaan tu

Bhula do naam mera wajood ye tabah karo
Mohabbat tumhein bhi thi, jhoothi sahi wafa karo
Aankhon mein dekho meri khwahishen ada karo
Ya meri jaan lo ya dooriyaan fana karo

Dill mein baatein dafn kabhi na bata saka
Tu hai wo khwab mera jo kabhi na main pa saka
Khwabon ke aashiyan mein tujhe na basa saka
Tu hi hai wajah jo main nazm ye bana saka

Khud se khafa, sir pe hath, bikhre baal mere
Tu hi hai aakhri fir koi nahi baad tere
Beshak tu tode dil dubara, aitraaz nahi
Tu hi sukoon dil ka, jaana ye mazak nahi

Ghamon ka sheher mera sheher ka main kaafir
Tum aate jaate rehte jaise koi musafir
Khuda gawaah hai had se zyada ki hai aashiqi
Tum hi meri 'tu' aur tum hi meri 'aap' bhi

Mar chuka hai dil, zinda hu main
Tumse nafrat karna bhi mujhe ab raas nhi aata
Puchte ho meri zindagi ke haal
Agar dard hi na hote Rishi gaane nahi banata

Gumaan hai abhi bhi tere laut aane ka
Ye khanjar maine khud apne seene le liya
Mohabbat mein hue bezaar hum
Par marke bhi na ban payenge Jaun Elia

Ye aakhri hai aarzo paigam tujhe mile
Hum dard likh rahe hai aur ilzaam tujhe mile
Jaana tu hai bekhabar, meri dua mein asar
Hum roz mar rahe hai par aaram tujhe mile

Har pahar ki ibadat ho tum zindagi ki aadat ho
Khwabon se hai raabta tum aake deti rahat ho
Kahani khatm hone wali hai
Tum meri Aakhri Mohabbat ho



Credits
Writer(s): Rishi Soni
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link