Kabhee

Bhole bhaale the dil ke havaale the
kadwe woh pyaale the kabhee
Do chaar humne bhi jyada lagaaye the
yaaron ke kehne pe kabhee
Fir ladkhadate se ghar pe bhi aaye the yaaron ke kandhon pe kabhee
Kabheee
Beparwahsi hi shaamein woh thi na
Kabheee
Pal bhar mein hi to yaadein banee na
Kabheee
Un lamho mein hi to hum jee rahe the
Un lamho mein hi to hum jee rahe the

Upar ke kamre mein bikhre ataaale the
Dheron khayaalon ke kabheee
Man ki deewaaron se latke woh jaale the
Uljhe sawaalon ke kabheee
Kabheeee
Manzil ki hod mein hi to the na
Kabheeee
Bewajah se daud te hi to the na
Kabheee
Sabhi raste lagte ojhal se the
Sabhi raste lagte ojhal se the

Hosh to apne pehle bhi sambhale the Paya hai par khudko bas abhee
Bakse puraane woh pehele bhi nikaale the
Dhoonda hai par unmein khudko bas abhee
Abheee
Kohre bhi chatt rahe hain - dekho
Abheee
Badal bhi hatt rahe hain - dekho
Abheee
Kirnein bhi ghul rahi nadiya mein
Abheee
Kaliyan bhi khil rahi bagiya mein
Abheee
Subaah nayeee firse hone ko hai
Subaah nayeee firse hone ko hai
Subaah nayeee firse hone ko hai



Credits
Writer(s): Vaibhav Totla
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link