KOI DEEWANA KEHTA HAI

Koi deewana kehta hai
Koi pagal samajhta hai
Magar dharti ki bechani
Ko bas badal samajhta hai

Main tujhse dur kaisa hoon
Tu mujhse dur kaisi hai
Yeh tera dil samajhta hai
Ya mera dil samajhta hai

Koi deewana kehta hai
Koi pagal samajhta hai
Magar dharti ki bechani
Ko bas badal samajhta hai

Mohobbat ek ehsaason ki
Paawan si kahaani hai
Kabhi kabira deewana tha
Kabhi meera deewaani hai

Mohobbat ek ehsaason ki
Paawan si kahaani hai
Kabhi kabira deewana tha
Kabhi meera deewaani hai

Yahaan sab log kehte hain
Meri aakho mein pani hai
Jo tu samjhe toh moti hai
Jo na samjhe toh paani hai

Koi deewana kehta hai
Koi pagal samajhta hai
Magar dharti ki bechani
Ko bas badal samajhta hai

Samandar peer ka andar hai
Lekin ro nahi sakta
Yeh aansu pyar ka moti hai
Isko kho nahi sakta

Meri chahat ko dulhan tu
Bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paaya
Woh tera ho nahi sakta

Koi deewana kehta hai
Koi pagal samajhta hai
Magar dharti ki bechani
Ko bas badal samajhta hai



Credits
Writer(s): Kumar Vishwas, Shri Sarfuddin
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link