Jaadu

Jahaan yeh tere liye saja hai
Tujh hi se toh yeh bana hai
Banna main chaahun tere kaabil
Karna hai jo tujhe hi haasil

Chale gaye, chale gayee, chale gaye voh
Jo jaane vaale the
Tere liye na sahi the voh

Aane do, aane do, aane bhi do
Ab jo main aaya hoon,
Tere paas rahun main toh

Jab tak na maanegi tu baat meri
Tab tak manaaunga
Jaan meri jaayegi yahin kahin
Kal phir jataaunga

J-j-j-j-j-jaadu, hai tu, hai tu, hai tu
B-b-b-bekaabu, main kyun, main kyun, main kyun?
J-j-j-j-j-jaadu, hai tu, hai tu, hai tu
B-b-b-bekaabu, main kyun, main kyun, main kyun?

Aaine mein jo tu dekhe khud ko
Mohabbat kaise na ho jaaye?
Paheli bhi yeh teri mujhko
Kabhi bhi samajh na aaye

Jaane do, jaane do, jaane bhi do
Kamiyaan toh sab mein hain
Mujhe tu jaisi hai pyaari hai

Aane do, aane do, aane bhi do
Tere jo chehre pe
Muskuraahat yeh aayi hai

Jab tak na maanegi tu baat meri
Tab tak manaaunga
Raat meri jaayegi yahin kahin
Kal phir se gaaunga

J-j-j-j-j-jaadu, hai tu, hai tu, hai tu
B-b-b-bekaabu, main kyun, main kyun, main kyun?
J-j-j-j-j-jaadu, hai tu, hai tu, hai tu
B-b-b-bekaabu, main kyun, main kyun, main kyun?



Credits
Writer(s): Sagar Verma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link