Naaz e Khuda Hain Zehra

Wajh e Takhleeq e Jahan Naaz e Khuda Hai Zehra s.a
Us Se Naraz hai Rab Jis Se Khafa Hai Zehra s.a

Wo Muhammad hon Ali Ya Wo Hassan Hon Ya Hussian
Sab ko bas tere liye khalq kia hai Zehra s.a

Shakl mein sura e kausar ki kai muddat Se
Aaj bhi khana e kaaba pe likhaa Hai Zehra s.a

Arsh wale bhi chale aate hain roti lene
Tu sakhi sab se alag teri ataa hai Zehra s.a

Shiddat e dhoop mein deti hai jo rahat bas wo
Tere Abbas kay parcham ki hawa hai Zehra s.a

Jisko mushkil mein Muhammad bhi sada dete hain
Usne mushkil mein tera naam lia hai Zehra s.a

Kyun na bimaar tere dar se shifain paain
Teri Chadar mein Muhammad ki shifa Hai Zehra s.a

Is zamane ka bhala khauf mujhe ho Kyunkar
Sar pe jab saaya figan Teri rida hai Zehra s.a

Wo Samjhte Hain Jo Apna to samajhlen lekin
Aaj Bhi baagh e fidak Sirf tera hai Zehra s.a

Ap Hain Umm e Abiha ye Laqab Sunte hi
Maine Beti Ka Yehi Naam Rakha Hai Zehra s.a

Aagye Hazrat e Abbas Madad ko Mesum
Jab Bhi Zeeshan Ne Mushkil Mein Kaha hai Zehra s.a



Credits
Writer(s): Zeeshan Abidi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link