Gham To Nahi (feat. Madyal)

Is baat ka gham to nahi ha
Jazbaat mere kam to nahi hain
Aankhein meri namm to nahi hain
Hum mar chukay hum to nahi
Is baat ka gham to nahi ha
Jazbaat mere kam to nahi hain
Aankhein meri namm to nahi hain
Hum mar chukay hum to nahi

Dunya se door ma konay ma betha
Phir teri yaado mai khonay houn betha
Apne hi haatho se likh kay jazbat
Apne aansoun ma bhigone houn betha
Zindagi mazak ma hass kyu nahi paarha
Kesa ye daldal ma phasta hi jaarha
Kesa sahaara ma uth kyu nahi paarha
Ma bhatka musafir ma ghar kyu nahi jaarha
Koshish ki maine kay naa ho gustakhi
Pata tha mujhe kay milni nai maafi
Tuje ha pata tera wajood bhi
Meri mohabbat ki dega gawahi
Tera ye jhoot kya teri wafa ha
Tou ha saboot kyu ishq balaa ha
Tera muje khoona teri khatah ha
Tera tera hona teri saza ha
Khuda ha wo tera kya mera nahi ha
Waqt ha tera kya mera nahi ha
Kab tak rhega andhera ye aakhir
Andhere k baad sawera nahi ha kya
Ma ne tuje chaha galti thi meri
Kardia tunay jo marzi thi teri
Meri traf se ha ab tou azaad
Is dunya ki tou ab ye dunya ha teri
Tu saahil tha mera kinaara nahi
Tu rehbar tha mera sahaara nahi
Tujse juda ho kay khudse khafa houn ma
Tuje mohabbat gawara nahi
Mujse tum dunya ko kab tak chupaloge
Apni kartotoun ko kese bhuladoge
Mujse jo mila tha usi ko panay ma
Saari tum apni mohabbat luta dogay

Hum dam tor bethe humdam naa mila
Umeed chor bethe teri deed na hui
Saara shehar ha magan jashan e eid ma
Hamara yaar na dkha to gooya eid na huwi
Hamaray siwa tou mureed na huvi
Ese to jaana koi preet na huvi
Tujse zyada koi badeed na huvi
Dil e bazar ma khareed na huvi
Khareedete to kese kam zarf log
Tere baad mera har pal soog
Muje kehti thi har waqt wo
Lelo sab kuch par waqt do
Waqt makhsoos tha muje ilm nahi
Waqt guzar gaya jaanay tu kidar gai
Qadar talab meri tujse hai
Qafan qabar muje wo degai
Qafan baand kay ma pohancha uske darwaaze pe
Baahein khol aur muje panah dede
Hijrovasal sab teri raza se ha
Apne gunnahon ki tou muje saza dede
Qafan baand kay ma pohancha uske darwaaze pe
Baahein khol aur muje panah dede
Hijrovasal sab teri raza se ha
Apne gunnahon ki tou muje saza dede
Dil k sandook ma bandook teri yaadein qatal
Jo tere bil mutabiq ikhtetam mera azal
Uske liye likhta tha gaanay tere liye ghazal
Hatheli pe rakh kay betha houn dil to isko badal
Ma lelu badlay ye mera tarz e ishq nai
Tu is dunya ma khuda ka deta rizq nai
Qaabil hua jo tere wo kesi qabil na raha
Bhoola hawas aur ilm wo faazil na raha
Hasil na hua tuje reh kay haath malta
Tere wisaal k baad sadiyo ka aik lamha
Kamiyo ko bhool jaata jo hota teri trah
Par tuje bhool kay bi milta skoun kaha
Kamiyo ko bhool jaata jo hota teri trah
Par tuje bhool kay bi milta skoun kaha
Par tuje bhool kay bi milta skoun kaha
Par tuje bhool kay bi milta skoun kaha

Is baat ka gham to nahi ha
Jazbaat mere kam to nahi hain
Aankhein meri namm to nahi hain
Hum mar chukay hum to nahi
Is baat ka gham to nahi ha
Jazbaat mere kam to nahi hain
Aankhein meri namm to nahi hain
Hum mar chukay hum to nahi



Credits
Writer(s): Saad Aslam
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link