Sapnein

Palko ki chilman me
Kuch sapne hai bikhre hue
Un sapnon ko samete ham
Anjani rahein chalein
Pankho ko girne ka kya dar hai
Bas thode sabar ki zaroorat hai

Andheri raahein bhi
Sapno se hai roshan hui

Mana ke hoti hai badi muskile
Sapnon ki rahon pe kayi
Kab kise kya khabar hoti hai
In rahon pe roshani
Hota hai un sapnon
Ko pane ka jab housla
Lehre bhi jhukti hai
Sapne jab chue asmaan
Tab khushiyo ka mausam wo ata hai
Sare un ghamo ko bhulata hai

Palko ki chilman me
Kuch sapne hai bikhre hue
Un sapnon ko samete ham
Anjani rahein chalein



Credits
Writer(s): Kaivalya Kejkar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link