Magruur

Chakmak sa yeh dil yeh tera
Milti khwaaish tujhse mera
Dil milte jaise dariya kinara ho
Behthi hain dariya jaati hain dhur
Mudti nahi toh aati nahi sukoon
Fizaon ke sang tu aaja mere yaar mere paas ohhhhh

Shaam shavera kara tera intezar
Kaali ghata baras gayi ik baar
Jaan-e-jigar tu hain mera pyaar mera ghar
Kyun nahi samajti oh mere dilnawaaz
Tere bin dil-e-ghar hain andhera
Dil fareb hain mere ulfat ke niyaaz

Khali panno mein kya hi dundu
Afsaane bane magar dil-e-khamosh
Kalaam ke sihayi hurfon ke intezar kar rahi
Bolo abh kya hi likhu ohhhhhh

Chakmak sa yeh dil yeh tera
Milti khwaaish tujhse mera
Dil milte jaise dariya kinara ho ohhh ohhh ohhh

Magruur banta chala mann
Na-qubil raha yeh wazud
Zalim mohabbat uski yaado se
Guzarti aaton(8)peher
Na karu zikar uski jo khwaab
Dikha kar rukshat huyi
Beinthehan mohabbat kar raha
Dil-e-jigar aisa kyun bikhra?
Pehle tha hosh mein abb hogaya
Hun madhosh mein
Ae gham-e-dil kispe dalu mere ilzaam
Aitbar-e-ishq jaan ke gair bani
Kaise bhule usse jo mujhme hi ghole
Kaise jiye uske bin yaha
Uski yaade karti meri yeh tanhaayi

Chakmak sa yeh dil yeh tera
Milti khwaaish tujhse mera
Dil milte jaise dariya kinara ho ohhhhhh
Behthi hain dariya jaati hain dhur
Mudti nahi toh aati nahi sukoon
Fizaon ke sang tu aaja mere yaar mere paas ohhhhh

Shaam shavera kara tera intezar
Kaali ghata baras gayi ik baar
Jaan-e-jigar tu hain mera pyaar mera ghar



Credits
Writer(s): Diptesh Naik
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link