Tum Agar Aaoge

Aaoge jab tum kabhi yahan par akele
Paaoge ik chaahat ki kami har savare

Fir kyun bhul gaye woh waade
Kyun hai dil mein chupi woh fariyaadein

Yaadon ke pannon ki thi tu har khushi
Khud se bhi zyada tha mujhko tujh par yakeen

Ab dard bayaan nah honge yeah kabhi
In aansuon ke liye mein ajnabi

Kyun tum chal diye
Har zakhm ka ghada bhar diye
Yun toh hun us jagah pe mein
Jahaan ki khabar nah humko hai
Har shakhs puchta hai ke
Ki woh gaye kahan pe ab Es jahaan se

Tum agar aaoge jab Es shehar mein kabhi
Khamoshi si paaoge tum har jagah har kahin

Khwahison se bhar yeah ghar ab nahin
Sukoon dhunta yeah dil har kahin

Tum agar aaoge jab Es shehar mein kabhi
Khamoshi si paaoge tum har jagah har kahin



Credits
Writer(s): Nomit Thakur
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link