Abbas Ki Aamad Hai

Abbas ki aamad hai pur kaif nazare hain
Hai eid wafaon ki khush chand sitare hain

Haider ki duaon ko khaliq ne asar bakhsha
Sbbas ki soorat me be misl dia tohfa
Ek aur ali aya ye saaf ishare hain

Kulsoom ne zainab ne hasnain ne khush ho kar
Ghazi ki balaye lee jeene ki dua dekar
Gesooye jari bibi fizza ne saware hain

Jis simt se bhi dekho haider ka sarapa hai
Abbas ke chehre me eeman ka jalwa hai
Hain hifz use jitne quraan ke paare hain

Firdaus se dunia me ye khas khabar aai
Kulsoom ki zainab aur hasnain ki soorat hi
Abbase ali bibi zahra ke bhi pyare hain

Jibreel jhulate hain abbas ka gahwara
Midhat ke qaseedo se hooro ne sama bandha
Kahte hain jina wale abbas humare hain

Shabbir ne ye kahke parcham hai use saupa
Siffeen ke maidan me dunia ne hai khud dekha
Haider ke kamalo fan abbas me saare hain

Manzar wo ziarat ka mahdi o raza mazhar
Bhule hain na bhullenge kahte hain qasam khakar
Abbas ke rauze par wo din jo guzare hain



Credits
Writer(s): Mazhar Lucknowi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link