Haqiqat Aur Mai

Mai aakhen padhu uski jab
Wo kahe tallafuz pe dhyaan do
Mai phoolo ke saaye ko tolu
Wo kahe khushboo ko bhi Jaan lo

Mai uljhe jawaabo se jujoo
Wo azaad krde har sawaal ko
Mai uss khat ka aakhri lafz hu
Wo uspe likha Mera naam ho

Wo insaan me matlab ko dhoonde
Mai matlab me dhoondu insaan ko
Mai adab se berukhi Karu
Ba adab krti hai salaam wo

Par zehmat nahi mujhe deti
Na krti halaat hai bayaan wo
Jo Ghar kabhi Ghar nahi hua
Aise Ghar ki hai firaq woh

Raaz e saza phaila hua baalo me tha lipta hua
Koshish ke pal taaza rhe
Bandish me dil koi dikhta tha na
Par dukhta tha na aur dukhta bhi hai
Milta bhi tha aur milta bhi hai
Judta nahi ab girke kabhi
Marta to tha aur marta bhi hai

Duniya dekh nahi paayi
Uske andar ka tha Jo farishta
Itne Dil rakhti hai
Ye gunah bhi hai usi ki hirs ka
Mai shayari nawaazta husn pe
Kehti gaur Krna Sher hai ye dil ka
Tum ghar me ghusne ki tasalli ho
Mai shor hu pure uss din ka

Jaanti ki chahte mujhe ho
Gale milte tumhare haath nahi kaapte
Ye aakhen tajurbekaar nahi
Kal ke tamam khwab aaj me hain jhaakte

Unn khwabo se puchna kabhi
Taqdeer se kitni baar tum lade ho
Unn khwabo se puchna kabhi
Kya khudke behasil hone pe dare ho

Kaise dikhau tumhe jo maine dekha hai insaan
Haatho ke ranjish me uljhi si dua
Tum wo shaam ho jo saaya uss bezaar ka
Jisko sawera bhi de na paata aasra

Ye khudse mohabbat kaha milti
Dhoond lau uske liye shifa Banu dil ki
Ek daraaz Jo nakaam rha umr bhar
Ek kitaab Jo likh Chuka tha husn par

Aahiste, dekho wajood apna sun kar
Kya manogi ye gaane likhta hu tum par
Kaise kahu usse jiyo tum khul ke
Wo to yha pe mar bhi nahi payi khul kar

Jis tallafuz se thi baate shuru
Aaj uss Ada ko Mai shaam me talash rha
Aarzoo e maut akele ki meri thi
Phir apna naam kyu iss khat pe hu kaat rha

Zindagi hai yeh ajeeb
Mai Zinda isliye hu kyoki marna bauhat chaha
Ghar ki tasalli hai Khali padi
Galat Kiya tumhne chah ke zindagi ko zyada



Credits
Writer(s): Shuja Hasan
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link