bhikari (1 minute original)

Pull pe dekha maine ek bhikari
Socha kya hogi uski kahani
Voh bhi kisi zamane mei
Koi aur hota hoga
Kisi bade baap ka ek lauta beta
Ya gaon ka chota neta
Joh sahar ek behtar zindagi ki ummed mei aaya hoga
Kisi musafir ki tarah
Usne apna ghar chhodha
Chamakti immarato ko dekhke
Voh jhoom gaya hoga
Anjaan voh shehri hawaon se
Zulfon waali bedard baahon se
Farebi zamane ki nighaon aur
Dogle apnepan se
Rehne ke liye dekhe usne kamre
Bana naukar kisi bangle mei
Chatai pe bitayi kitni raatein
Ek. naye saware ki ummed mei



Credits
Writer(s): Sneha Rathore
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link