Bahana

Hmmmmm
Kyun khuda khafa hota hai
Kyun ye aasman rota hai
Aas kyun bikhar jaati hai
Kyun yeh har dafa hota hai

Tum aur kahin jao
Ham aur kahin jayein
Is dard se behtar to
Ab khud ko mitana hai
Yun chhod ke jane ki
Koi aur wajah de do
Ham gair se lagte hain
Yeh sirf bahana hai
Ab phir se Mohabbat ka
Ham naam nahi lenge
Ik aag ka dariya hai
Aur doob ke jaana hai
Yun chhod ke jane ki
Koi aur wajah de do
Ham gair se lagte hain
Yeh sirf bahana hai

Baaton se baatein
Aankhon se aankhein
Badhti gayi phir
Nazdeekiyan
Ik shor banke
Barsi duaayein
Phir aa gayi yeh
Khamoshiyan
Khamoshiyan yeh
Bezaar hoke
Kehti hain tumse
Sun lo zara
Ashqon ke samandar wo
Ham doob gaye jinme
Un gard si aankhon mein
Phir kisko dubaana hai
Yun chhod ke jaane ki
Koi aur wajah de do
Ham gair se lagte hain
Yeh sirf bahana hai

Ooooooo

Phir se saba aayegi
Phir tu sanwar jayega
Chehra tera dekh kar
Phir koi mar jayega
Kis kis ko samjhau mai
Maula kaha jaun mai
Palkon pe bitha kar ke
Jhatke se gira dena
Ham khoob smajhte hain
Yeh khel puraana hai

Yun chhod ke jane ki
Koi aur wajah de do
Ham gair se lagte hain
Yeh sirf bahana hai



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link