Bezaar

Bajay subah chaar
Teri yaad lagataar
Sochoun jaoun kahin bahar
Tu to har jagah saath
Sirf judai mere paas
Har galti teri maaf
Zehn mein wohi alfaz
Wohi ankahi baat
Darmyan hain jo bhi faaslay
Pata nai ratein kese kaat rahay
Kroun ab mein kuch kya
Jab tu hi na sath hai
Khud se bhi pareshan hoon
Ye ratein aese hi guzar doon
Dil mein baki jo umeed
Kya usay bhi ab maar doon?
Kuch lagay ab khas nai hai
Ye khushi bhi bas zahiri hai
Dunya se bezaar hoon
Akhir ko ye bhi tou faani hai

Kho hi gaya
Sambal na saka
Tere janay ke baad
Roh hi para
Wo aashqui hi kya?
Jisse milo hi khushi
Jo diya tunay ussi
Gham me hi Jiya

Kya wo hoga sab bhula chuka?
Ya meri hi tarah tarap raha?
Peeche chor agay barh chuka
Mere bagher hi wo khush raha
Raha ab koi mere saath nai
Tanha betha teri yaad hi sahi
Khoya bhi jo in andhero mai
Ab dil na lagay ghero mai

Kho hi gaya
Sambal na saka
Tere janay ke baad
Roh hi para
Wo aashqui hi kya?
Jisse milo hi khushi
Jo diya tunay ussi
Gham me hi Jiya



Credits
Writer(s): Syed Jalali
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link