roobaru

Hun roobaru, inn raahon se
Hun ab nahi, teri baahon mei
Pehchan le, azaad hun
Teri baaton se, tere vaadon se
Hun roobaru, inn raahon se
Hun ab nahi, teri baahon mei
Manzil nahi, tu khwaab hai
Poora jo kabhi hona nahi

Kaafi baatein
Jo hai zaroori
Aur kaafi baatein
Jo lagti buri
Chubhti hai choori
Laapata hai
Hai kaafi doori
Tu hai zaroori
Tu na jaane
Kaisi majboori
Sab kuch hai tu hi mera
Jaise sardi
Mei shaamein dhalti
Vaise tu aake chali jaye
Kyu hai itni jaldi
Par tu hi sardi ki dhoop meri
Tere sahare ab guzarti
Ye raatein thandi
Aur ab bas sochun ki mai

Roobaru inn raahon se
Hun ab nahi, teri baahon mei
Manzil nahi, tu khwaab hai
Poora jo kabhi hona nahi

Hai kaafi baari khoja maine khud ko tujh mei
Na mila kabhi poora mujhe mile bas tukde
Tu bole mujhe kho ja meri aankhon ki dhun mei
Par kyu bahon mei hun teri jab tu mujhe bas dukh de
Kyun hun itna buzdil, kyun hun itna darr mein
Kyun hun vakif itna tujh se jitna vakif na khud se
Kyun hun naraaz, kyun mai beawaaz
Kyun lage jeena kabhi bojh, kabhi lage hai sukh ye
Shayad waqt hai kam, han lekin teri kasam
Agar mai bhoola tujhe kabhi matlab rahe na hum
Lekin rahenge pal
Ye bikhar jaenge jahan mei meri saanson ke sang
Jahan mile the hum
Aur rahunga roobaru mai teri yaadon mei
Par saath hote toh shayad hote gum ye na par jaane de
Ab jaayaz hai ye sach, sun'ne ab nahi bahane ye
Milenge fir kabhi, ajnabee kisi zamane mei

Roobaru inn raahon se
Hun ab nahi, teri baahon mei
Manzil nahi, tu khwaab hai
Poora jo kabhi hona nahi



Credits
Writer(s): Karttikeya Pathak
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link