Aram Ata Hai Deedar Se Tere - Lofi

Teri dooriyaan mujh pe gunaah hai
Dil chaahat is ki gawaah hai
"Meri duniya teri panaah hai"
Yahi ishq ne mujh se kaha hai

Kuchh mujh men tu aise basa hai
Koi mujh men na meri jagah hai
Kuchh dekhoon to tu dikhta hai
Meri aankhon men teri nigaah hai

Tujh se bichhad ke, ba-khuda
Main yahaan ji na sakoonga ik lamha

Aaraam aata hai deedaar se tere, mit jaate hain saare gham
Hai ye dua ki tujhe dekhte-dekhte hi nikal jaaye dam
Shukraana chaahe main jitna bhi kar loon ki phir bhi rahega vo kam
Tera tasavvur mujhe de ke Maula ne mujh pe kiya hai karam

Nikal jaaye dam, dam, dam, dam

Dil sanvarta hai tere khayaalon se
Dil sanvarta hai tere khayaalon se
Jagmagaata hai tere ujaalon se

Raqs karta hai dil, tujh pe marta hua
Paagalon sa tera...
Paagalon sa tera zikr karta hua

Mere chain-o-sukoon teri raah hai
Tu rooh ki khvaab-gaah hai

Tujh se bichhad ke, ba-khuda
Main yahaan ji na sakoonga ik lamha

Aaraam aata hai deedaar se tere, mit jaate hain saare gham
Hai ye dua ki tujhe dekhte-dekhte hi nikal jaaye dam
Shukraana chaahe main jitna bhi kar loon ki phir bhi rahega vo kam
Tera tasavvur mujhe de ke Maula ne mujh pe kiya hai karam

Aaraam aata hai deedaar se tere, mit jaate hain saare gham
Shukraana chaahe main jitna bhi kar loon ki phir bhi rahega vo kam

Aaraam aata hai deedaar se tere, mit jaate hain saare gham
Hai ye dua ki tujhe dekhte-dekhte hi nikal jaaye dam
Shukraana chaahe main jitna bhi kar loon ki phir bhi rahega vo kam
Tera tasavvur mujhe de ke Maula ne mujh pe kiya hai karam

Shukraana chaahe main jitna bhi kar loon ki phir bhi rahega vo kam
Tera tasavvur mujhe de ke Maula ne mujh pe kiya hai karam
Aaraam aata hai deedaar se tere, mit jaate hain saare gham
Hai ye dua ki tujhe dekhte-dekhte hi nikal jaaye dam

Hai ye dua ki tujhe dekhte-dekhte hi nikal jaaye dam



Credits
Writer(s): Akash Khaira
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link