Tum Hi Ho Wajah

Khudse juda
Khudse khafa
Kyu ho gaya tha mein
Mujhe kya pata
Socha tha maine
Na rakhun mein vaasta
Kyu tha khudse
Mera yeh faasla

Tumhein dekha jab
Badi yeh dhadkan
Thama samey jab
Saara ka saara
Mila mein tumse
Jaana maine tab
Ki tha mein adhura

Tere bina
Saara Jahan
Lage adhura
Mera yeh Jahan
Tujhse Mila
Toh paaya maine
Yeh Jahan
Saara ka saara

Kyunki tum hi ho wajah
Meri khushi ki
Kyunki tum hi ho wajah
Zindagi ki

Tujhse mila
Toh paaya maine
Yeh Jahan
Saara ka saara

Barson nikalne ke baad
Kabhi aisa mauka milta hai
Kisi ko paane ka
Uska haat thaame rakhna
Dil se lagaye rakhna
Kyunki

Tere bina
Tha mein adhura
Tujhse mila
Toh ho gaya
Mein poora
Tujhe maine jaana
Jaana maine raasta
Jispe tha chala
Mein akela
Tum mili
Toh Mila saath Tera
Na raha mein
Ab akela

Na ho juda
Tu mujhse ab yahan
Na seh paana hai
Maine faansla
Ab se tum
Hui meri
Toh paana maine
Yeh Jahan
Saara ka saara

Kyunki tum hi ho wajah
Meri khushi ki
Kyunki tum hi ho wajah
Zindagi ki
Kyunki tum hi ho wajah
Bandagee ki



Credits
Writer(s): Daksh Verma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link