Suna Jahan

Haan ye sach hai ki
Jitne zakhm tune diye hai
Wo bharega nahi
Par ye jaan le tu
Dhoondh le tu saara jahan
Mujhsa koi milega nahi

Haan jo door jana tha
Phir pass aaya tha kyun
Jo mujhko rulana tha
Phir hansaya tha kyun

Ab bhi mangu yahin main duwayein
Saada khush rahe tu
Teri ho fizayein
Tera pura Aasmaan
Mera suna Jahan

Shikayatein karo to
Achcha bhi batana
Jo tu akela tha to
Tere saath main deewana
Tere liye phoolon ki sezein
Saaja rakhi thi
Teri khatir choda tha
Maine saara zamana

Ab dil pe koi bojh hai na
Tere naam ka ab koi rog hai na
saaja lena apna jahan
Tu kahin aur main kahan



Credits
Writer(s): Sandeep Suman
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link