Waqt

Sabhi se door hoon raaton ko chatt pe
Thandi ye hawa aur badal bhi garje
Lage jaise hone waali hai baarish
Aur rooh bhi meri ab paani ko tarse
Chaahu nahin rehna ab toh ghar mein
Chaahu samjhaana par koi na samjhe
Khud hi ka dard aur khud hi ka marz main
Hai kyun akela ye pagal kyun bhatke
Jita hoon roz in taanon se bach ke
Marta bhi roz hoon kyunki ye sach hain
Nikle paise jaise ho jaate kharche
Kandhe pe dard ye ho kyun na farz hai
Zindagi jua toh jeet bhi narq hai
Kheloge kitna ye paison ka latt hai
Marna tu chaahe na marne ka haq hai
Jeena bhi chaahe na jeene ka waqt hai

Hoon main talaash mein
Paana hai waqt
Phir lautun kyun haar ke
Hai kaisa safar
Hoon main talaash mein
Paana hai waqt
Phir lautun kyun haar ke
Hai kaisa safar

Nafrat hai khud ke khayaalon se
Maar doon kaatil hoon lagta ke shraapon mein
Abhi toh hua hoon logon se door
Mann mera jaise akela hai saalon se
Inko ye lagta main rehta aawaron mein
Lehza ye mera kyun sabko dikhaaun main
Jitni ho baat bas utne mein paaoge
Baaki vyavhaar nahin rakhna ab saalon se
Badhte hue dekha hai shehron ko gaaon se
Milta sukoon bass thandi hawaaon mein
Rok loon samay aur kahin naa jaau main
Uche pahaad main abr ki baahon mein
Thehra hoon paani mein shaant sa ruka hua
Roothi hai jab se wo ek gali main sheher se roootha hua

Hoon main talaash mein
Paana hai waqt
Phir lautun kyun haar ke
Hai kaisa safar
Hoon main talaash mein
Paana hai waqt
Phir lautun kyun haar ke
Hai kaisa safar



Credits
Writer(s): Subhesh Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link