GALTI

Maine ki thi ek galti
Ki thi ek galti
Ki thi ek galti

Maine ki thi ek galti
Jisse main hogaya ghar se kalti
Maine jo bhi kiya
Sab ko laga hai vo galti

Ghusse mein aake
Ma pe chillaya
Ghussa mera dekhe
Papa bhi chillaye

Apni dhun mein rehta
Kiski sunta na main
Kaam bole ghar ka koi
To karta na main

Apne siwa mujhko
Sab lagte the bekaar
Lekin main ban gaya
Bada gunehgaar

Main apne maa ko rulaya
Baap ka dil maine dukhaya
Na unki maani maine baat
Maine har waqt sataya

Ek din maa boli seedha hoja
Warna main jaoongi
Tu kabhi pukaare dubaara
Laot ke na aaoungi

Meri kismat bhi dekh
Maine kya kya saha hai
Jo bhi na maine socha
Waisa hi hua hai

Ma ki baat sunkar
Mera dil nai pighalta
Awaara gardi main
Agle din phirse nikalta

Din gaye hafte mein
Hafte bane mahina
Mahina badla saal mein
Suraj uga suraj duuba
Na aaya badlao
Mere haal mein

Galti

Ghar ko der raat
Ek din main laota
Dekha har koi baitha
Kone main rota

Maa ko apni maine
Har jagah dhoonda
Kabhi kitchen to
Kbhi aangan mein dekha

Koi bhi batane ko
Tayyaar na tha ke kya hua
Bas ghusse se mujhe dekha
Ja raha tha ghura hua

Papa ko maine kandhe pe
Hath rakh kar poocha
Papa batao mummy ko
Kya hua

Papa ne mara mujhko
Zor ka ek thappad
Bola tujhe kya padi hai
Kuch bhi ho jaye ghar par

Ma ko teri aaya hai
Heart attack
Ja tu tension na le
Bana apna ek aur peg

Tere ma ke paas
Bhot kam hai waqt
Zindagi se lad rahi hai
Teri ma kambaqt

Sunte hi main hogaya
Out of control
Aise laga jaise body se
Nikal gayi soul

Mujhe abhi bhi ufsos hai
Maine ki thi ek galti
Jisse main hogaya ghar se kalti
Maine jo bhi kiya
Sab ko laga hai vo galti

Galti



Credits
Writer(s): Mohammed Hussain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link