Bekhayali (From "Kabir Singh") [Lofi]

Bekhayali Mein Bhi Tera
Hi Khayal Aaye
Kyun Bichadna Hai Zaroori
Ye Sawal Aaye

Teri Nazdeekiyon
Ki Khushi Behisab Thi
Hisse Mein Faansle
Bhi Tere Bemisal Aaye

Main Jo Tumse Door Hu
Kyun Door Main Rahun
Tera Guroor Hu Uun

Aa Tu Faansla Mita
Tu Khwaab Sa Mila
Kyun Khwaab Tod Du

Bekhayali Mein Bhi Tera
Hi Khayal Aaye
Kyun Judai De Gaya Tu
Ye Sawal Aaye

Thoda Sa Main Khafa
Ho Gaya Apne Aap Se
Thoda Sa Tujhpe Bhi
Bewajah Hi Malaal Aaye

Hai Ye Tadpan Hai Ye Uljhan
Kaise Jee Lu Bina Tere
Meri Ab Sabse Hai Ann-Ban
Bante Kyun Ye Khuda Mere Ulll
Ye Jo Log-Baag Hain
Jungle Ki Aag Hai
Kyun Aag Mein Jalu

Ye Nakaam Pyar Mein
Khush Hain Ye Haar Mein
Inn Jaisa Kyun Banu

Raatein Dengi Bata
Neendon Mein Teri Hi Baat Hai
Bhoolun Kaise Tujhe
Tu Toh Khayalo Mein Sath Hai

Bekhayali Mein Bhi Tera
Hi Khayal Aaye
Kyun Bichadna Hai Zaroori
Ye Sawal Aaye

Nazar Ke Aage Har Ek Manjar
Ret Ki Tarha Bikhar Raha Hai
Dard Tumhara Badan Mein Mere
Zehar Ki Tarah Utar Raha Hai

Nazar Ke Aage Har Ek Manjar
Ret Ki Tarha Bikhar Raha Hai
Dard Tumhara Badan Mein Mere
Zehar Ki Tarah Utar Raha Hai



Credits
Writer(s): Irshad Kamil, Parampara, Sachet
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link