BAHAANE BAAZ

Parosenge hum milke ab meri bahaane baazi
Vo mai gaali khata aur jo mujhe baatein khati
Hum kaise jaane jaate aur ab kaise raaten kaati
Dhua hai kamre mei dikhe na ye aankhen kaali

Maare kash aur phir ye geet bane aaj hai
Sangeen si ye shaam aur aajeb isme baat hai
Zaika purana aur laalch bhi iska naam hai
Methaas beimaani meri rooh ka jawab hai
Soot samet mai karu tera hisab poora
Somras lafzon mei na maine koi maal fooka
Tu bole chodh sab haan tere muh pe aaj thooka
Jhooote khayal bankne mere peeche bhaag tu na
Saadhu si soch mai kar dunga tujhe mantra mugdh
Mere tu charan choo le tu mera chandragupta
Andar se shant par vinaash thera chehre pe
Mere kukarm mere nakshtra pe pehre de
Girte khai mei roz aur zakhm gehre the
Kaali khaniyon ke geeton pe hum behte the

Mujhe chahiye meri zindagi mei aur qisse
Mujhse bhidte roz par chahiye aur hisse
Ab kitna baatu mai jab bacha khud mai aadha nahi
Karta halal jab vo bole tujhpe baat aa gayi
Kharoch chhati pe aur kismat mei koi badha nai
Chup ho jaata kyuki mere shaant svabhav pe baat aa gayi

Parosenge hum milke ab jo hai kahani baaki
Mai bhi bolu hota sach hai ye zabaane kaali
Vo mai gaali khata aur jo mujhe baatein khati
Hum kaise jaane jaate aur ab kaise raaten kaati

Parosenge hum milke jo rehti kahani baaki
Jo bhi bolu hota sach hai ye zabaane kaali
Vo mai gaali khata aur mujhe baatein khati
Hum kaise jaane jaate aur ab kaise raaten kaati



Credits
Writer(s): Devang Bhandari
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link