Wounded

Zindagi mein waqt aaye jinne mujhko toda
Zindagi mein log aaye jinne saath Chhora
Haan Unke jaane ka mujhe dukh hua tha thoda
Thi namm si aankhein phir khushiyon ka nakaap odha

Dhass gaya tha ret mein haan ghut raha tha mera dum
Bikhri hui thi zindagi aur ho gaya tha sab khatam
Aag na lagi koi par zindagi ho gayi bhasam
Sab kuch jhelte par ek uff na karte the hum

Na saansein chal rahi aur na hi dil dhadak raha
Kya zinda hoon main ya phir hoon chita pe jal raha
Ye log fanda aur zamana ye kaffan raha
Sab hoga theek bas is baat ka sabar raha

Badlav aa gaya svabhaav mein
Dimaag rehta tha tanaav mein
Bas behta hi jaa raha tha main bahaav mein
Aur kucch bhi nahi pata tha koi bata do na kaha hoon main

Behte behte mil gaya tha mujhko ek kinaara
Doobte ko mila jaise tinke ka sahara
Zakhmi wo sher phir jab jaagke dahaara
Uski ek dahaar sunke har ek geedar kap-kapa raha

Duniya ko bhool khudke liye jee raha tha main
Apni fati si zindagi ko see raha tha main
Gehre andhere me kuch chamkeela sa tha main
Koyle ke beeck ek chota heera tha main

Zakhm chaahe kitne gehre wo waqt ke sang bhar jaate hain
Kyun mere aansun dekh ab saare log darr jaate hain
Haan Apno ke liye hum duniya se bhi lad jaate hain
Jab kamyaab ho jaaye to saare zakhm sawar jaate hain

Ateet ke baare mein baat ab hum karte nahi
Jo hoga dekhenge aane waale kal se darte nahi
Sache rishte, haan wo kabhi ujadte nahi
Jo bande nakli, hum unke hit mein ladte nahi



Credits
Writer(s): Akshat Singh
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link