Kar De

Parde utha de, ye darr ke jo saare
Armaanon ko thode se to parr de
Udne de inko khule aasmaan mein
Gir ke sambhalna seekhe to zara

Hai gar thoda khud pe yaqeen to
Khudki himmat aazmaale
Kyun baitha hai, lakeeron ke bharose
Khudki kahaani likh dey

Mushkilon se aage badh ke
Jo bhi taiyaariyaan hai karle

Gar armaan ko arthi tak tujhko le jana nahi, to
Kar De, Kar De
Kar De, O Kar De
Jo haasil na kar paaya ab tak tu darr ke wahi, to
Kar De, Kar De

Loha garam ho tabhi maar dena
Hathoda jo tere haath mein pada
Kyun baitha hai tu yun hi soche
Dehleezon ko peeche chhod na

Hai gar iraade, thode se bhi
Unse yaari karle
Dil mein hain kitni ye baatein dabaayi
Khul ke wo saari keh dey

Uljhanon se faasley karke
Jo bhi aafatein hain unse ladd le

Gar aaj ka soch ke kal ko pachtaana nahi, to
Kar De, Kar De
Kar De, O Kar De
Jo mumkin na lagta tha ab tak tujhe wahi, to
Kar De, Kar De

Kab tak marr marr ke tu jeeyega
Thokaron ki chot khaayega
Dubki lagaa ke tu dekh zara to
Kya pata tu tayr jaayega
Aaj gaya phir na aayega
Waqt to behta hi jaayega
Haar se darr ke gar koshish kiya na to
Kaise naya seekh paayega
Mann mein tu thaane to
Kuch bhi kar sakta hai
Cheenti bhi parvat ko dhaayega

Kar De, Kar De
Kar De, O Kar De
Kar De, O Kar De

Parde utha de, darr ke jo saare
Armaanon ko, thode se parr de



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link