aisa kyun hota hain?

Do pyaale garam chai aaye aaye
Ek dhun jo dil gungunaaye jaaye
Zindagi ke nuskhe saare arey arey
Seekhne toh chaahe
Khoob socha aur phir maine samjha
Ye zaya waqt hi meri mashooqa hain
Sabz lamhon ki taazgi,naraazgi mein
Surkh pyaar ka nasha hain
Aisa kyun hota hain?
Ki fursaton ko hum talaashein
Jhoomna, theherna
Hi zindagi ka falsafa hain

Meri sheh-maat ka raja
Baadalo mein chhupa ek madari
Saap-seedhi jaisi tedhi medhi
Is pyaade ki kahani
Ye maza toh bas dhuaan hi dhuaan hain
Dheere dheere kash le le na pyaare
Azaadi kya hain? Fakera se bhi poocha maine
Bas waqt ka jua hain
Aisa kyun hota hain?
Ki fursaton ko hum talaashein
Jhoomna,theherna hi zindagi ka falsafa hain

Tu aur main, main aur tu
Ishq se hain ishq pe hain
Tu aur main, main aur tu
Ek dusre ke aayne
Aisa kyun hota hain?
Aisa kyun hota hain?

Jaane bhi do, bhool jaao, aao
Khud ko seencho, khud hi ko sambhalo
Chote muh ki badi baatein jaano
Kisi ka kaha na maano
Ye maza toh halka halka sa dhuaan hain
Dheere dheere kash le le na pyaare
Azadi kya hain? Fakeera se bhi poocha maine
Bas waqt ka jua hain
Aisa kyun hota hain?
Ki fursaton ko hum talaashein
Jhoomna, theherna hi zindagi ka falsafa hain



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link