64 Bars

Ye ladke, ladke ghar mein kaid jese art inki felony
Main bachpan se hi alag atyachaar kabhi sehta ni
Kandho pe sara bojh tabhi sath rakhta thela ni
Ghar se nikalna door kyunki ART mujhe felani
Khoonkhar rhyming de sajaadi apni mehfilein
Ye launde rahe seekh jese aaye abhi pehli mein
Karke gutt baji ye bole banaye kaafile
Bina puri taaqat ke ujaadi inki mehfilein
Liye alag faisalay, tabhi hum mein hain faasalay
Ye buddhi itni tedhi ki kisiko bhi haan faanslay
Ye mere sath beth'te fir karte mujhse saajishein
Gar mujhse uper jana to jaake abhi tu faansi le
Log bole ye calm dikhata kaafi jyada (Sach)
Log bole ye h calm rehta kaafi jyada (Sach Sach)
Kaam karta kam per iska
Hai kaam dikhta kaafi jyada (Khara Sona)
Meri thaali mein na dekh mere hath mein tu jhaank
Meri lakiron ko dekh aja sath mere bhaag
Sab chaahein mujhe, tu soche mujhme esa kya khaas
Thodi mehnat thodi lagan or haan jeet ki ek pyaas
Mere sath mere khaas triple century (It's a win)
Tere sath tere khas still no entry (always lose)
Mere bars kaafi fire hain beta (Hamesha)
Or ye bullet complementary (Tuhje)
Kitna ajeeb hai ye chhote ladke banne chale artist
Halaat ka pta ni zindagi ki kare baatcheet
Haath leke ghoome abhi bhi school ki ye marksheet
Bole kaafi dekhi zindagi umar ho jese 38
Ghar walo ke saamne khulti ni inki 32eesi
Pure daant nikaal du tobhi hote ye 32 ni
Akkal daad aayi ni or ye karenge sab theek!!
Tu zindagi sambhaal liyo pehle hoja 25 bhi
Gaano mein pyaar ki baatein or toota dil hai
Baap se ni banti ya fir dhoondh re manzil hai
Isse uper likh ni paate launde in their sangeet
Kyunki zindagi inki bas 4 diwar hain ghar ki
Kyu hai tujhe laalsa har post pe 1 like ki
Jo share kare har kisi ke DM mein you psychic
Chamakna chahta game mein to lena seekh tu fight bhi
Race mein sabse aage ye skill hai meri pedayishi
Flow se bahar hua jo main kabhi mujhe parwah ni
Ye BPM bas mere liye khel hai koi saza ni
Bina metronome ke btaad tera tempo ki
Per esi betuki baaton mein khaas hai kuch rakha ni
Duniya mein khulke jeene pe laga hai ban bohot
Main hota pare duniya se lagaake apne headphone
Khule vichaar ni samaaj ke feeling trap log
Soch teri chhoti to soch sach mein yaha kaid kon?
Ghar se nikalte karke saare apna mask on
Dohra aawaran pehne karna chahte yaha sab raaj, jones
Samay gawah hai jo dete yahan hai gyaan bohot
Aksar bhool jaate hain vo khudpe karna kaam dost
Sapno mein apne pichle dosto se baat karta
Sath beth unke apni zindagi ke raaz padhta
Ant mein hath uper karke main awaaz karta
Mujhe chahiye legacy tujhe kamaana 4 din ka
Mere naam pe kare gumaan mile shaan tujhe
Ghar waalo ko bhi pta ho ki duiya mujhe jaanti hai
Marne ke baad bhi yaad rahe ye naam tujhe
Bas ese karke jaane hai 2-4 haan kaam mujhe
Bole to... ye bas likhne ki baatein hain
Jo bhi khayaal mere mann mein ajaate hain
Sunte hai kaafi, kaafi sun nhi paate hain
Jab ye vichaar antarman ko jagaate hain



Credits
Writer(s): Fake Banda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link