Toko Na Takiye Ko

Toko na takiye ko, neendein to churayi sapno ne!
Roko na karwato ko, raatein to bigaadi sapno ne!
Sapne kai tarah ke aaye gaye
Bas kuchh gehre thehre
Kuch haseen, kuch ajeeb, kuchh dil ke kareeb
Kuch ameer, kuchh gareeb, gaaye paiso ke sangeet,
Kuchh hasaaye, kuchh rulaaye, dhadkane uljhaye
Ankahi chaahato ko jagaye...

Toko na takiye ko, neendein to churayi sapno ne
Roko na karwato ko, raatein to bigaadi sapno ne
Aadatein inko aafaton ki, aahatein bani angaaro si,
Andekhe aaine ye, andhere anokhe sapno se

Par aajkal ek hi sapna hai kuchhta,
Rozana ek hi baat mujhse puchhta,

Kya kahu aisa jiski sabko qadar ho
Kya likhu aisa jismein sabka safar ho
Kya seekhu aisa jiska sab pe asar ho
Kya karu aisa jispe sabki nazar ho

Toko na takiye ko, neendein to churayi sapno ne
Roko na karwato ko, raatein to bigaadi sapno ne
Aadatein inko aafaton ki, aahatein bani angaaro si,
Andekhe aaine ye, andhere anokhe sapno se!



Credits
Writer(s): Hrutul
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link