KATHA - The Story

Baat us zamaane ki jab desh ye gulaam Tha
Neta abhineta yaha har banda aam tha
Nahi tha farq na bair insaan me
Mandir me basta allah masjid me ram tha
Har insaan tab ek-dusre ke sath tha
Bhed na bhaaw tha hatho me sbka hath Tha
Bhagat singh dekho ik sikh sardaar tha
Akela jatt sawaa lakho pe asardaar tha
Mughlo ki rooh lagi thi tabhi kappne
Rana prataap jab chetak pe sawaar tha
Tab chain tha aman tha sukoon insaan me
Sukh tha samay tha yakeen bhagwaan me
Guzar gya waqt guzar gaye zamaane
Insaan hai laga dekho jhoot ko kamaane
Tarakki ki daud me aage hum aa gaye par
Insaniyat hum bhule bharosa hum kha gye
Kya hoga apna kal kya hoga iska hal
Waqt hai abhi yaara khud hi sambhal
Desh hai ye apna hai baazuo me bal
Kismat likh apni aur khud hi badal
Le Haan
Thoda zara soch le waqt bada har kam hai
Khushiya hain mehngi yaha sasta har gam Hai
Soch le badalna hai bikhre samaaj ko
Na maan kabhi haar jab tak baazuo me bal Hai
Taareekh hain badli par haal ab b aisa hai
Maa nahi baap zaruri yaha paisa hai
Insaan hi insaan ko kyo kaat raha hai
Rishte naate aaj sab kyo baant raha hai
Waqt kisi ke liye rukta nahi
Jhoot ke aage mai b jhukta nahi
Matlabi hona aaj logo ka usool hai
Kisi ka bhla karo lagta fizool hai
Aakhri padaav ko aane me abhi deri hai
Ladki na chhed coz teri maa bhi lady hai
Mehngai kyo badi kyoki sarkar apni le ri hai
Aaye din hoti laakho ki hera feri hai
Salaah Dikshant ki
Janm se dehaant ki
Zamee se aasmaan ki
Aawaz ye gumnam ki
Hindu Musalmaan ki
Saare Hindustan ki
Baan ke kamaan ki
Tyaag Balidaan ki
Aan aur Eemaan ki
Baate Bezubaan ki
Katha Balwaan ki
Masjid me Azaan Bhi
Geeta Ho Quran bhi
Ved aur Puraan bhi
Maan ke Mahaan ki
Anjaan se Nishaan ki
Pehchaan is makaan ki
Shaan sanvidhan ki
Ghadi imtihaan ki
Hai aatm kalyaan ki
Chinta me jo dhyan ki
Mai Cheeze kaafi jaan li
Duniya maine chhaan li
Ye duniya maine jaan li
Duniya maine chhaan li
Ye Duniya maine jaan li
Jwala mere Gyaan ki
Ye duniya maine jaan li
Duniya me jaan li
Ye duniya maine chhaan li
Written by Dikshant Jain



Credits
Writer(s): Dikshant Jain
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link