TUM HO

Tum Ho
Iss duniya se
Shikhwe nhi
Bass gum khwaab hai

Tum Ho
Iss duniya se
Shikhwe nhi
Bass gum khwaab hai

Mujhse na kar sawal pooch khud se kya
The hum saath
Ya bass mazaak tha ye safar
Thehre na hum
Kya jaane hum hai sabar
Door door lagta darr, par ab hum alag

Toh sab sahi
Nafrat nhi

Sunn gyi mai sab
Tu sahi nhi
Abhi nhi sahi hum sath
Ankahi hai kaafi baat

Jaane do mujhe
Kya fayda hai aise jeene ka

Aane do aane do naye din
Jaane do jaane do jeeye din
Jo sath
Mehfoos ho humaare dil ye khwaab

Pehle door tune khud se na jaane mujhe kyu kiya
Zikr tera meri baato mei band phir
Kisi ko na chale pata dard ye mera
Lafzo pe isiliye laga di thi bandish
Ibdita mei aabshaar
Phir aa jaate zehen mei bure wo khayal
Sochta hu faansi de du pyaar ko
Na jaanu mai aage jaake zindagi mei kya hi hoga mera haal

You know baby what that I left with a smile
Muskuraate hue jaaye jo wo kabhi bhi na aaye
Teri yaad mei raato mei aansu bhi bahaye
Tujhe khabar hi nhi
Wo aansu kaam hi na aaye

Ab ye wafadaari kisi aur se na hogi
Jis tarah maine tere se nibhayi
Mere jaane par hi tu mehsoos kregi mera pyaar
Ask yourself why

Pehle jeene ki wajah thi ab peene ki wajah hai
Mohobbat mei jaan tak dene waalo ki yahi ek saza hai

Pehle jeene ki wajah thi, ab peene ki wajah hai
Mohobbat mei jaan tak dene waalo ki yahi ek saza hai kya

Casanova samjhi tu mujhko, mai mareez hu dil ka
Aur ab tere pyaar ka bhi
Ab bhul ke bhi mile agar jahaan mei iss
Tu aankhein nhi mila payegi kabhi
Aur mera kya
Mai toh phir tujhe milte hi seene se laga lunga
Toota dil kis qadar dhadakta hai usi din mai tujhe suna dunga

Pehle wajah thi jeene ki khafa ki nhi
Meri kala ki raza thi mazaaki nhi
Bol de sach mujhse jali nhi tu
Jab beat pe Clatcha aur Rica bhi thi
21 July mujhe yaad taareekh
Likhu fasaane na koi fareeq
Janaaza toh usi din uth hi gaya tha
Jab bech ayi thi tu apna zameer



Credits
Writer(s): Paarth Sethi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link