Lifaafon Mein Shabdon Ko (Ek Izhaar)

Lifaafo mein shabdo ko band kar diya
Tere hi kadmo mein maine dil rakhdiya
Badalo mein maine sir rakh diya
Tujhe paane ke liye tha kya kuch kiya

Khwabo ka sir pe tha bojha liye
Khali tha dil tujhse bhardiya
Sabkuch tha maine toh tujhko diya
Fir tune kyu mujhse sab cheen liya

Is toote dil ke kaanch ke tukdo pe mai chalta girta hu
Ab na mera sahara koi main uthkar khud hi sambhalta hu
Baarishein thandi bheeg raha mujhe har din lage badsoorat hai
man hi man mai cheekh raha mujhe shayad teri zarurat hai

Har lamha jo guzara,
Mere dil mein bas gaya
Tu tha mera sahara
Mai fir bhi thak gaya

Khud ko rakhna chahta khush
Mai firbhi khud se jhagadta hu
Laal gulab ye sundar
Par ab kanto se ab darta hu

Dil mein mere thi bhookh magar
Usse paani se ab bharta hu
Us paani mein main doobta jab
Tab chain mehsoos mai karta hu

Lifaafo mein shabdo ko band kar diya
Tere hi kadmo mein maine dil rakhdiya
Badalo mein maine sir rakh diya
Tujhe paane ke liye tha kya kuch kiya

Khwabo ka sir pe tha bojha liye
Khali tha dil tujhse bhardiya
Sakuch tha maine toh tujhko diya
Fir tune kyun mujhse sab cheen liya



Credits
Writer(s): Daksh Arora
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link