PARINDAaaa

Tha parinda main Aazad
Parinda main Aazad

Bachpan ka sabse bada khwaab
Bada hona tha
Bada hua toh bada khwaab
Bada banna hai
Pankh nai the
Aasman chhota lagta tha
Ab uchai se ghonsla
Khoobsurat lagta hai

Aazadi khaajati hai
Saali पेट ki bhookh
Aansoo pochh lagja kaam
Saari Beijjati bhool
Seekha samjhota krna
Zimmedari padi bhari
Armaano ko marte
Bebas Rehti dekhti rooh

Neendein ni aati
Paero mein Pitaa k joote aane lage
Kamaane ki fiqar mein
Din bhi bhookhe jaane lage
Lge Farz aage
Chhote museebat k pahad
Saare Muhpe lage taane
Dil ko chhooke jaane lage

Par Ghonsle mein
Laut nahi sakte khali haath

Tha parinda main Aazad
Parinda main Aazad

Kabhi paero mein chubhe
Toh kabhi haatho pe bandhe
Ye saale kaanto ne
Kabhi na beparwah ho chalne Diya
Kabhi Hansi mein Chhupe
Toh Kabhi chhupi mein chubhe
Ye saale dardo ne aage na kabhi
Kal se badhne diya
Kabhi aane wala toh
Kabhi beet chuka jo
Pinjre mein daana basharte
Ki geet suna do
Beshak Daana zarurat
Gaana bhook thi mann ki
Jabardasti kre pyaar se
Nafrat pal lagte do

Wo krne ko badi
Marzi se bhoolta aukaat
Wo krne ko raazi tha
Lakeero se 2-2 haath
Par chadar se baahr
Paer pasaarne na diye toh
Wo तोता bangya
Magar tha khwab uska baaz
Aata baaz kaise
Iraade bedi se baandhe jaate ni
Musafiro ko raaste ke
Rode bhaate ni
Tajurbe ki nazar se
Junoon toh jaate naape ni
Gehri jado k पेड़
Toofano se khauf khaate ni
Toh aadhe raaste
Ab khali haath toh ni mudunga
Lakho se aage
Jinhone kia kabhi shuru na
Aankhein aasman pe
Pinjra le udunga
Tum aazmane ki mujhe
Na krna kabhi baat

Haan parinda main Aazad
Parinda main Aazad
Parinda main Aazad
Parinda main Aazad



Credits
Writer(s): Mak Musick
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link