Zubaida

Bechara, dil bechara
Tujhse kar cope ni paara
Koi chance, na scope, na chaara
Mujhse tere liye khat likhwa ra

Bechara, dil bechara
Kuch dino se mere haath ni aara
Koi chance, na scope, na chaara
Ainvein apna ghamand ghiswa ra

Aisa bhi hota hai?
Cupid bhi rota hai?
Sochu tere baare mein toh seene mein kuch hota hai
Na koi samjhauta hai, na mera dil iklauta hai
Utaar kar baat karo pehna tumne jo mukhauta hai

Zubaida, Zubaida
Whatchu know, Kiya tumne kaisa
Zubaida, Zubaida
Maare akhiyon se look tu aisa
Na shauhrat, na paisa
Kuch bhi nahi tere husn jaisa
Zubaida, Zubaida
Whatchu know, Kiya tumne kaisa?

Hawaon mein aaj
Kuch bohot hi galat hai
Mera jee ghabraye
Jaise jaise aari raat nikat hai

Akeli hai kya tu?
Kya main ghar aa sakta hu?
Aaraam se bitha ke tujhe screenshots dikha sakta hu?

Aisa bhi hota hai?
Kya mard bhi rota hai?
Sochu tere baare mein toh
Chaati mein kuch hota hai

Na koi samjhauta hai bas
Sach kehne ka mauka hai
Utaar kar baat karo pehna tumne jo mukhauta hai

Zubaida, Zubaida
Whatchu know, Kiya tumne kaisa
Zubaida, Zubaida
Maare akhiyon se look tu aisa
Na shauhrat, na paisa
Kuch bhi nahi tere husn jaisa
Zubaida, Zubaida
Whatchu know, Kiya tumne kaisa?

Aksar aawaazon mein
Scattered alfaazon mein
Kya lagta, kiske baare mein likhta main inn gaanon mein?

Kaisi asmanjas hai
Kya ye sab sambhav hai?
Tere ird gird bana rakha maine life ka matlab hai

De paata waqt isey thoda aur to maybe na aisa hota
Ho jaata waise ke badle kuch aisa to kya jaane kaisa hota

Shayad hum paagal hain
Bachpan se ghaayal hain
I fuckin' hate it jab bin pooche barsein ye baadal hain

Sardeeli raaton mein
Gambheer si baaton mein
Mil jaate hum, na dekh sako tum mujhe meri aankhon mein

Kaisa ab rona hai?
Kya paana kya khona hai?
Saadhe aath ka tha main samajh liya jab jo hona hai vo hona hai

Zubaida, Zubaida
Whatchu know, Kiya tumne kaisa
Zubaida, Zubaida
Maare akhiyon se look tu aisa
Na shauhrat, na paisa
Kuch bhi nahi tere husn jaisa
Zubaida, Zubaida
Whatchu know, Kiya tumne kaisa

Sigh
Saale, tune bhi toh kiya hai itno pe cheat
Ab pata chala kaisa lagta hai?
Tera karma balance hua hai, aur kuch nahi hai ye
Chal, koi ni
At least you took the song well
Dhyan rakhna
Take a deep breath
And say Bless



Credits
Writer(s): Udbhav Acharya
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link