Phir Bhi Tumko Chaahunga

Tum mere ho, iss pal mere ho
Kal shayad yeh aalam na rahe
Kuch aisa ho, tum tum na raho
Kuch aisa ho, hum hum na rahein
Yeh raaste alag ho jaayein
Chalte-chalte hum kho jaayein

Main phir bhi tumko chaahunga
Main phir bhi tumko chaahunga
Main phir bhi tumko chaahunga
Main phir bhi tumko chaahunga
Iss chaahat mein mar jaaunga
Main phir bhi tumko chaahunga

Meri jaan, main har khamoshi mein
Tere pyaar ke nagme gaaunga, mm-mm

Main phir bhi tumko chaahunga
Main phir bhi tumko chaahunga
Iss chaahat mein mar jaaunga
Main phir bhi tumko chaahunga

Aise zaroori ho mujhko tum
Jaise hawaayein saanson ko
Aise talashoon main tumko
Jaise ke pair zameenon ko

Hansna ya rona ho mujhe
Pagal sa dhoondhoon main tumhein
Kal mujhse mohabbat ho na ho
Kal mujhko ijaazat ho na ho

Toote dil ke tukde lekar
Tere dar pe hi reh jaaunga, mm-mm

Main phir bhi tumko chaahunga
Main phir bhi tumko chaahunga
Iss chaahat mein mar jaaunga
Main phir bhi tumko chaahunga

Tum yoon mile ho jabse mujhe
Aur sunehri main lagti hoon
Sirf labon se nahin, ab toh
Poore badan se hansti hoon

Mere din-raat salone se
Sab hai tere hi hone se
Yeh saath hamesha hoga nahin
Tum aur kahin, main aur kahin

Lekin jab yaad karoge tum
Main banke hawa aa jaaunga, oh-oh, oh-oh

Main phir bhi tumko chaahunga
Main phir bhi tumko chaahunga
Iss chaahat mein mar jaaunga
Main phir bhi tumko chaahunga

Main phir bhi tumko chaahunga
Main phir bhi tumko chaahunga
Main phir bhi tumko chaahunga
Main phir bhi tumko chaahunga



Credits
Writer(s): Manoj Muntashir, Mithoon
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link