Tanhaa

Jo khud mein na mila
Woh kisi aur mein main dhundta phira
Mila ghaanv, mila dard
Mere dil, kya kya sehta?
Kabhi patthar dil kabi dil par patthar dekhaa

Khushi hoti kya? main anjaan hoon
Tadpte mann ko maaru rooh ko araam du
Daudti soch ko kaise main lagaam du?
Unki galtiyo ka bhar raha main lagaan kyu?
Legaye hisse mere saare yeh cheen ke
Karu muqt khudko dard ke zanjeer se
Karu khatam, inn nass-o ko khol-ke, cheer-ke
Zindigi nikle haatho se dheere-dheere
Utha main subhay yeh dard aise chube
Akela hoon main, aankhe tuje hi dhunde
Awaaz teri ghunje, tu dhike na muje
Gaya tu kaha?

Bol muje kya hai tuje yaad
Dekhe jo thay khwaab
Aaj banne sawaal kyu?
Ab akele dhundu main jawaab
Kya mera ilaaj? Bhaita hai sawaal kyu?
Main tanhaa hoon
Tanhaa hoon
Tanhaa hoon
Tanhaa hoon

Ab pada itna fark na dhike koi fark
Kya hai hassi? Kya hai khushi? kya hai aansu? Kya hai dard?
Jaise Murda koi ghume leke dil mein apne barf
Asmaan mein hai jannat toh kya dharti hui nark?
Dur hue jo kal thay mere kareeb
Main bharu kora kagaz jaise main kabir
Kalam bahe lahu jab main kheechu lakeer
Likh raha gaana ya kheech raha tasveer
Hosh na thikaane mein, tum toh sambhaal lete
Tere deewane thay, tum toh ho janate
Hum teri jaan thay ab hai begaane se
Gaya tu kaha?

Bol muje kya hai tuje yaad
Dekhe jo thay khwaab
Aaj banne sawaal kyu?
Ab akele dhundu main jawaab
Kya mera ilaaj? Bhaita hai sawaal kyu?
Main tanhaa hoon
Tanhaa hoon
Tanhaa hoon
Tanhaa hoon

Main tanhaa hoon
Tanhaa hoon



Credits
Writer(s): Archit Tak, Nitish Dogra, Shashank Alamuru
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link