Jaane Dou

Tujhse juda jee raha asroon pe
Manzil ka pata nahi jee raha faasloun pe
Kitna matlabi hoon yaad ayi to likha
Bikhrne aya hoon aj phir in kagzoon pe
Khoj hai jaari bathak raha rastoon pe
Aj nahi pechana, kabhi to mere khaas hoge
Khaas hi sahi lekin paas bhi nahi
Yaad bhi teri ab ati hai kafloon mein
Kafle bhi keise jab jana hai door
Keisa attitude keisa guroor
Keisi kashmakash keisa fitoor
Bin phooke hi high keisa ye saroor
Keise btai ke bin tere khoye hum
Keise maan le band kamray mein roye hum
Khudka aks ab mujhse ankh na milaye
Keise btai roz afsurda hi soye hum
Soye hum tab bhi khayaal tha tera
Utha to ab bhi gumaan hai tera
Tere dil mein zyda ruka nahi
Humsafar nahi mehmaan tha tera
Suljhi thi tum mein nadaan hi tehra
Ab charoon taraf hai khumaar bas tera
Tere dil mein meri jagah nahi
Pehle kam az kam khaali makaan tha mera
Khali makaan aur kuch bachi yaad hai
Jaaneman tujhse ye akhri mulaqaat hai
In safoon pe bikhre jo mere jazbaat hai
Hath mein qalam aur gham bhari raat hai
Dard bhara gaana aur tuhi wajah hai
Dost bhi rehna aur yehi saza hai
Tere sadqe mein saw nafal parhe
Tere jaane ke baad to farz bhi qaza hai

Sathi tera ban na saka
Dooriyaan phir bhi apni lagi
Jo bhi tha sehm gaya, sehm gaya
Jaane de, tu mujhe jaane de
Tu mujhe jaane de
Jaane de, tu mujhe jaane de
Tu mujhe jaane de

Farz bhi qaza hai per dard tu bana hai
Hum guneghaar hai per qarz tu bana hai
Khudhi ko hum maar rahe aur marz tu bana hai
Dekh zara khudka hashar kya bana hai
Kiski yaad mein bikhar tu gaya hai
Kiski yaad mein aj likh tu raha hai
Keise boloun tujhe khud bhi pta hai
Humsafar ki khoj mein tu khud lapata hai

Dil mera kyun lapata sa hai
Bewajah kyun faasla hai
Jaane de, tu mujhe jaane de
Jaane de
Jaane de, tu mujhe jaane de



Credits
Writer(s): Dayyan Azhar
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link