Sukoon Paya

Sukoon paya hai bekasi mein
Hudood-e-gham se nikal gaya hoon
Khayaal-e-Hazrat jab aa gaya hai
To girte girte sambhal gaya hoon
Khayaal-e-Hazrat

Sukoon paya hai bekasi mein
Hudood-e-gham se nikal gaya hoon
Khayaal-e-Hazrat jab aa gaya hai
To girte girte sambhal gaya hoon
Khayaal-e-Hazrat

Kabhi mein subh-e-azal gaya hoon
Kabhi mein shaam-e-abad gaya hoon
Kabhi mein subh-e-azal gaya hoon
Kabhi mein shaam-e-abad gaya hoon

Talash-e-janaan mein kitni manzil
Khuda hi jaane nikal gaya hoon
Talash-e-janaan mein kitni manzil
Khuda hi jaane nikal gaya hoon

Mere janaaze pe rone waalo
Fareb mein ho baghor dekho
Mere janaaze pe rone waalo
Fareb mein ho baghor dekho

Mara nahi hoon, gham-e-Nabi mein
Libaas-e-hasti badal gaya hoon
Mara nahi hoon, gham-e-Nabi mein
Libaas-e-hasti badal gaya hoon

Haram ki tapti hui zameen par
Jigar bichane ki aarzoo mein
Haram ki tapti hui zameen par
Jigar bichane ki aarzoo mein

Bahaar-e-khuld-e-bareen mili to
Bacha ke daaman nikal gaya hoon
Bahaar-e-khuld-e-bareen mili to
Bacha ke daaman nikal gaya hoon

Ba faiz-e Hassan ibn Sabit
Barang-e naat-e Rasool-e Akram
Ba faiz-e Hassan ibn Sabit
Barang-e naat-e Rasool-e Akram

Qamar mein sher-o-sukhan ki le mein
Adab ke moti ughal gaya hoon
Qamar mein sher-o-sukhan ki le mein
Adab ke moti ugal gaya hoon

Sukoon paya hai bekasi mein
Hudood-e-gham se nikal gaya hoon
Khayaal-e-Hazrat jab aa gaya hai
To girte girte sambhal gaya hoon
Khayaal-e-Hazrat jab aa gaya hai
To girte girte sambhal gaya hoon



Credits
Writer(s): Ghulam Mustafa Qadri
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link